Kaafir ke haath se machh'li (fish) lene ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, September 21, 2019

Kaafir ke haath se machh'li (fish) lene ka hukm

Sawaal az : Janaab Syed Rayhaan Sb. | +918140..... Baroda


Salamun alaikum. Kya halal machli (fish) kaafir ke paas se le saktey hain ? wo log apni chhuri se kaat (piece) kar ke dete hain, phir hum ghar la kar paak kar dein, to kya ye kaafi hai, ya lena jaez nhi hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar aap ko eitminaan hai ke paani se zinda pakdi hai to halaal hai, khaa sakte hain
eisi tarah agar eitminaan hai ke paani me ous ke jaal me mari hai to halaal hai khaa sakte hain


Ji kati huei machh'li ko paak kar len to kaafi hai paak ho jaa'ae gi, ous ko khaa sakte hain


Note :


agar machh'li paani ke andar mar jaa'ae to paak hai lekin ous ko khaana haraam hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


25 / ذيقعده / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen