A.o.a
Bibi fatima s.a ka laqab batool hai
Bibi zainab s.a sani-e-Zahra hain aap ke liae batool ka laqab istimal hota hai keya
Or bibi Sughra s.a
Bibi kubra s.a
Bibi sakeena s.a
Bibi Um-e-kulsum ke liae bhi istimal kar sakte hain
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
is me shak nahi ke janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ke alqaab me se aek laqab batul hai isi liae aap se shaadi ke baad amirul momenin ali ( عليه السلام ) ka aek laqab " zau'jul batul ( زوج البتول = batul ke shauhar ) ho gaya our aap ki aulaad ko " aal-e-batul kahte hain
batul ke mokhtalif maani hain our aap ko batul keyon kaha jaata hai ? is ki mokhtalif vajhen bataaei gaei hain
aek vajah ki taraf rasul-e-khoda (صلى الله عليه و آله ) se marvi is hadis me aeshaara kiya gaya hai :
اِنَّمَا سُمِّيَت فَاطمةُ البَتُولَ لِانَّها تُبلَت مِنَ الحَيضِ والنِّفاس
faatema ka naam ( laqab ) is liae batul rakha gaya ke aap maah'waari wa nefaas se dur hain
olamaae-e-ahl-e-sunnat ne bhi likha hai ke :
ali ( عليه السلام ) our aap ke ghar waalon ko aejazat hai ke masjid-e-nabi ( صلي الله عليه و آله ) me jaaen , wahaan ruken our sokunat aekhteyaar karen is ta'alluq se aap hazaraat ko tamaam logon se juda kiya gaya hai ( yaani dusron ko is tarah ki aejaazat nahi hai)
is ki vajah baaz olamaa-e-ahl-e-sunnat ne ye bataaei hai ke aap hazaraat paak wa taahir hain mujnib nahi hote our na hi haaez (حائض ) wa nafsa
isi vajah se janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ko taahera wa motah'hara kahte hain
lekin oun ko batul nahi kah sakte hain is liae ke ye laqab hazrat-e-zahra ( سلام الله عليها ) se makhsus hai
hamaare tamaam imaam ( سلام الله عليهم ) amirul momenin hain lekin ye laqab ali (عليه السلام ) se makhsus hai lehaaza dusre imaamon ( صلوات الله عليهم ) ko amirul momenin nahi kah sakte hain
laqab " batul " bhi eisi tarah hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum iran
No comments:
Comment