Sawaal az : +9177........
Salamun alaukum
Agha mera sawal yeh hai ki halal chupai janwar ke kaun kaun se hisse halal makruh aur haram hain mai agha sistani sahab ka mukkalid hun.
Iltemase dua Khuda hafiz
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Chaupaa'ae (چوپائے) ke 14 aaza wa ajza haraam hain yaani khaana haraam hai
- khun
- paa'khaana (پاخانہ)
- nar ka aala'ae tanaasul (عضو تناسل)
- maada ka aalaa'e tanaasul (مادہ کا عضو تناسل)
- bach'cha daani (rahim)
- jism ki gaanth (گانٹھ)، gilti
- khusye (خصیے = fote = kapure = testis)
- wo chiz jo bheje me hai chhote daane ki tarah aur chane ke baraabar
- haraam maghz (حرام مغز) wo guda jo reedh (ریڑھ) ki haddi (ہڈی) wa pusht ke mohre me hota hai
- be'naabar aehteyaat-e-waajib rag wa rassi ki tarah lambi, khinchi (کھینچی) huei zard rang wa sakht chiz jo reedh (ریڑھ) ki haddi ke dono taraf hoti hai ye chabaane ke qaabil nahi hai is ka kaam haddiyon (ہڈیوں) ko aek dusre se mut'tasil karna hai
- peetta (پِتَّا = safra)
- tilli (تِلِّی)
- masaana (peshaab ki thayli = پیشاب کی تھیلی)
- aankh ka dhela ( آنکھ کا ڈھیلا )
[halaal jaanwar hatta ount (اونٹ) ka peshaab pina be'naabar aehteyaat-e-waajib haraam hai lekin aelaaj ke liae ount, gaae, bail aur gosfand ka peshaab pine me haraj nahi hai yaani pi sakte hain]
English me is ko shaayad "tendon transplantation" (کنڈرا ٹرانسپلانٹیشن) kahte hain
jigar ke niche aek chhoti thayli (تھیلی) jis me talkh paani yaani pit (پِت) jama rahti hai
English me is ko "spleen" kahte hain
is ke aelaawah jetne bhi aaza wa ajza hain wo sab halaal hain
gurde khaana makruh hai jigar (کلیجہ) aur dil khaane ki karaahat saabit nahi hai
albatta har wo chiz jo masaana (peshaab ki thayli = پیشاب کی تھیلی) se nazdik wa qarib hai behtar hai ous ko na khaa'aen
mazid maalumaat ke liae molaaheza farmaa'aen :
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
9 / ذى الحجه / 1440ھ.ق
روز شہادت جناب مسلم بن عقیل و ہانی (سلام الله عليهم)
وبحکم خدا سارے اصحاب کے در، مسجد نبی کی جانب بند کردیئے گئےسوائے حضرت علی ( صلوات الله عليھم ) کے و روز عرفہ
مومنین گرامی سے خصوصی دعا کی گزارش ہے
No comments:
Comment