Qibla salamun ayaikum. Dua karta hoo aap khairiyat se honge
Mera ek qreebi bhai hai unho ne ek Masla poocha hai.
Kya saheme IMAM ka hissa Shadi vagaira me istemal kar sakte hai.
Ager kar sakte hai to kya uske liye ijazat naam lena hoga.
Jinho ne ye masla poocha hai unki maali halat thik nahi hai unki bahen ki shadi hai jisme kisi shab ne kaha hai mai iska kharch saheme IMAM se doonga.
Ye agha Sistani shab ki Taqleed me hai.
Please ho sake to jald aap ke jawaab ka muntazir hoo.
Maola aap ko Salamat rakhe
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
agar ladki saiyedah ( saadaat ) hai to sahm-e-saadaat de sakte hain , is me aejaazat lena zaruri nahi hai
lekin sahm-e-imaam ( عليه السلام ) nahi de sakte hain
aayatullaah sistaani ke daftar ya aap ke motabar vakil se roju karen our haalaat wa mushkelaat bataaen , shaayad sahm-e-mobaark-e-imaam ( عليه السلام ) kharch karne ki aejaazat mil jaae
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalat Qum / iran
28 / شوال / 1440ھ.ق
Founder and editor
No comments:
Comment