Salam Alikum
Ek Sawal Hai
Kya Jamat k ho rahi ho Or Hm Furada Namaz Padh sakte hai Jamat se Alag
Agr hm aisa krte hai to meri Namas Sahi hai ya Galat
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
foqaha wa maraaje keraam ka fatva hai ke agar kisi jagah namaaz-e-jamaa'at qaaem hai to namaazi foraada wa akele namaaz na padhe
agar akele wa tanha padhna namaaz-e-jamaa'at ki kamzori wa be hurmati ka sabab bane ya tanha padhne ki surat me aiyse imaam-e-jamaa'at ki tauhin wa be aehteraami ho jo mustahaqq-e-be aehteraami wa tauhin nahi hai ya momenin ko oun ki adaalat par aetemaad hai lekin oun ki adaalat par sawaal wa oungli oudhe to tanha wa akele padhna haraam hai
albatta namaaz sahih hai , baatil nahi hai
be aehteraami ki tashkhis kaiyse ki jaae ; is ka tariqa keya hai ?
khud namaazi ke zimme hai ya ourf-e-aam ( momenin ) ki nazar me tauhin wa be hurmati shumaar kiya jaae
Note :
agar koei baa jamaa'at namaaz nahi padhna chaahata hai to jamaa'at ke pahle ya baad me padh le
والسلام
answered by syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / ذيقعده / 1440ھ.ق
روز ولادت با سعادت جناب فاطمہ معصومہ خواہر امام رضا سلام الله عليھا
founder and editor Saiyed md taabish
fashion collection
With discount
No comments:
Comment