As salamo alaikum aagha
Mera Sawaal ye hai ke meri Shaadi Jahan fix hui h wo Shia sadaat se to hein lekin Islam ke baare me kuch bhi nahi jaante bilkul ghair muslim culture h unka aor ladki bhi khule sar rahti h aor parde se usko elergy hai, mere liye kya hukm hai, aor shariyat parde ki kya hai
Maine ladki ko bataya parde ke baare me to kahne lagi bachpan se aise hi rahna hua h dheere dheere change hogi adat.
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar ladki ka eimaan wa aeteqaad tauhid , resaalat , imaamat our zaruriyaat-e-deen jaiyse namaaz , roza , hejaab ... par hai to shaadi kar sakte hain
shaadi se pahle aap ki zimmedaari nahi hai ke pardah karaaen lekin shaadi ke baad parde ka maahaol ( ماحول ) faraaham karna our ous ki hefaazat aap ki zimmedaari hai
lekin pardah karne par majbur wa zabardasti nahi kar sakte hain albatta parde ke beghaiyr ghar se nikalne ki aejaazat na dena aap ka haq hai
lehaaza shaadi se pahle ladki se shart rakhen ke agar kaamil hejaab karogi tab ghar se nikalne ki aejaazat dunga
ladki ko is par qaane wa raazi karen
in baaton ke peshe nazar apna our ladki donon ka mohaasaba wa jaaeza len agar aap aiysa kar sakte hain our ladki shart par amal kar sakti hai to shaadi kar sakte hain
shar'ei pardah our ous ke hodud :
waajib hai ke chehra our kalaaei tak haathon ke aelaawah aurat apne tamaam badan ko naa mahram ki aankhon se aiyse hejaab wa pardaah se chupaae jo khud zinat ( zarq barq hejaab ) na ho
Note :
mazid maalumaat ke liye "click here" click karen.................
Click here
والسلام
Answered by :- syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
No comments:
Comment