Sawaal az : mohtaram janaab aabid razavi sb / jaddah
Assalamualaikum Kya Agar Koi Ghair Muslim Inteqaal Karta hai to Kya Hum Inna Lillah... Keh Sakte Hain Dalil Ke Saath Bataaiye Badi Maherbaani Hogi.
👆ye Sawaal poocha hai janab Zaigham Ali ne Dubai se
jawaab
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji kah sakte hain , jaa'ez hai
dalil
khud yahi aayat hai
" ... ham to allah ke liae hain our ousi ki taraf hamen palat kar jaana hai ... "
ye ham apne liae kah rahe hain ghaiyr muslim ke liae nahi
haqiqat me ghaiyr muslim ke marne ki khabar sun kar apni maut ... ko yaad karte hain
dusre ye ke is jumle ka matlab hai
sabhi allaah ke liae hain , ous ke bande hain , har chiz ka maalik khoda hai , sab kuch ous ki milkiyat hai
our ousi ki taraf laut kar jaane waale hain yaani aek din maut aa'e gi
ye kahkar dar haqiqat allaah ki maalekiyat wa maut ka aeteraaf wa izhaar karte hain
ghaiyr muslim ka bhi maalik khoda hai wo bhi banda-e-khoda hai ous ko bhi aek din marna hai lehaaza kahne me koei haraj nahi hai
tisre ye ke ye aayat kalema-e-istirja ( استرجاع = roju karne ki talab ) hai
kalema-e-istirhaam ( استرحام ) yaani ghaiyr muslim ke liae talab-e-rahmat , maghferat our doa ke taur par nahi hai lehaaza kah sakte hain , jaa'ez hai albatta ye kahne se ghaiyr muslim ko faaedah nahi pahunche ga
mokhtasar wazaahat wa shan-e-nozul :
ye aayat surah baqarah ki 156 hai
jab janaab-e-hamza ki khabar-e-shahaadat our aek naql ke motaabiq janaab-e-jaafar ki khabar-e-shahaadat amirul momenin ali ( عليه السلام ) ko mili to ye jumla kaha
" انا لله و انا اليه راجعون "
(inna lillah wa inna aelayhe raajeoun)
(inna lillah wa inna aelayhe raajeoun)
khoda ko ye jumla aetna pasand aaya ke ba 'ounwaan-e-aayat naazil farmaaya
ye aayat mosibat ya kisi ke marne ki khabar sun kar padhte hain
mustahab hai ke kisi bhi mosibat ke waqt chaahe wo mosibat badi ho ya choti ya jab bhi maiy'yet ko yaad karen to ye aayat padhen
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedara-e-darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
4 / ذیقعده / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedara-e-darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
4 / ذیقعده / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment