Assalamun alikum,
insha'allah , allah pak khairyat se rakhe,
sawal:
agar ek shia momin ki shadi ek ahl-e-sunat larki se tae pa jae aur nikah dono makatib ke tariqe per ho yani larki wale apne molana se aur larke wale apne Molana se nikah padhwain to jaiz hai.
2 nikah
JAWAAB :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
Koei haraj nahi hai ( jaa'ez hai )
shia tariqe se aqd pdhe jaane ke baad dono shar'an miyaan bivi hain , har tarah ki jaa'ez lazzat haasil kar sakte hain
NOTE :
(1) shia ki shaadi sunni ladki ( لڑکی ) se jaa'ez hai lekin agar ladki naasebi ( kisi aek imaam عليه السلام se bhi nafrat wa dushmani ka izhaar karne waali ) hai to jaa'ez nahi hai , is liae ke naasebi kaafir se bhi bad'tar hain
isi tarah agar shau'har ya aulaad ki gumraahi ka andesha ho to haraam hai
(2) behtar hai koshish karen ye shaadi shia hone ka sabab bane
والسلام
Answered by
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / رمضان الكريم /1440ھ.ق
Founder and editor
Saiyed md Taabish
82% off 53% off 63% off 63% off
No comments:
Comment