jhoothi qasam khaaney waley ke liye kya saza hogi ?? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, June 10, 2019

jhoothi qasam khaaney waley ke liye kya saza hogi ??

sawaal az : mohtaram janaab aabid razavi sb / jaddah

Salamun alaikum Qibla...

Mera ek sawal h agr koi jhoothi qasam khaa kr kisi ke samne apni kahi huie baat se mukar jaye or dosra insan beizzat ho jaye.. to jhoothi qasam khaaney waley ke liye kya saza hogi ??


jawaab :

باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

jhuti qasam khaana kabirah gunaahon me se shadid tarin gunaah hai our haraam wa naa'jaa'aez , khaah jhuti qasam ki vajah se dusre ki be'eizzati ya haq talafi wa noqsaan ho ya na ho , khud ba khud jhuti qasam khaana haraam hai

is liae ke jo shakhs jhuti baat ko allaah ki qasam khaa kar bayaan karta hai wo goya apne jhut ko saabit karne ke liae allaah ke paak wa moqaddas naam ka sahaara leta hai

"agar jhuti qasam khaane se kisi ki be'eizzati wa haq talafi ho to our bhi zeyaadah bura hai , ye dusra gunaah-e- kabira hai"

"jhuti qasam khaane waalon ke liae dunya wa aakherat me bure nataa'ej morattab hote hain , misaal ke taur par dunya me zillat o khaari , khejaalat wa sharmindagi our aakherat me dard naak saza our azaab hai"

"ghar rizq wa barkat se khaali ho jaata hai , nasl munqata ho jaati hai , ous par khoda ghazabnaak hota hai , rahmat-e-aelaahi se dur hojaata hai , faqr o tang dasti ka baa'es hai ... khoda se jang hai"

qasam todne ( توڑنے ) waale ko chand kaam
karna chahiye


(1) sach'chi tauba wa istighfaar kare

(2) agar jaan bujh kar todi hai to kaffaarah de yaani 10 faqir ( wo shakhs jis ke paas zaruriyaat ki kami is tarah ho ke apna our apne bach'chon ka kharch saal bhar na chala sake ) ko ser kare yaani pet bhar khaana khilaae ( khilaane ke ba'jaae har aek ko 750 gr ta'aam yaani khaane ki ashiya bhi de sakte hain ) ya oun ( 10 faqiron ) ko kapde den ya aek ghulaam aazaad karen

our jis ko moyassar na ho yaani in ko anjaam nahi de sakta hai to wo lagaataar 3 roze rakhe ,
qasam todne ka kaffaarah wa saza ye hai


(3) kisi ki be'eizzati huei hai to ye hoqu'qun'naas me se hai , ous se moaafi maange , albatta moaafi maangna kadurat , aekhtelaaf ya khud ous ki be'eizzati ... ka sabab ho to moaafi maangna laazim nahi hai tauba our ous ki taraf se kaar-e-khiyr karna kaafi hai

 mokhtasar wazaahat :

1 - qasam ki 2 qismen hain :

(1) kisi kaam ko anjaam dene ya na dene ke liae qasam khaae , jaiyse qasam khaae ke roza rakhen ge ya cigarette nahi piyen ge

2 - kisi chiz ke isbaat ya nafi ke liae khaae , masalan kahe khoda ki qasam kal ghar me the ya ba khoda kal ghar me nahi the
sawaal ka rabt shaayad isi qism se hai


(2) qasd o aeraadah se wa aekhteyaar ki haalat me khaae lehaaza ghosse me qasam khaane ka aetebaar nahi

(3) qasam khaane waala allaah ke naamon me se kisi aek naam ki qasam khaae , wo naam jo ous ki zaat ke seva kisi our ke liae istemaal na hote hon jaiyse allaah , khoda , khaaliq , raaziq , rahim ..."

"is shart ke peshe nazar khoda ke naam ke aelaavah jaiyse qur'aan hatta rasul-e-karim our imaamon our dusri moqaddas hastiyon jaiyse janaab-e-saiy'yeda , janaab-e-zaiynab , janaab-e-abbaas ... ( سلام الله عليهم ) ki qasam khaaen to ous par amal karna waajib nahi hai our in ki qasam khaa kar qasam tode to kaffaarah bhi nahi hai"

(4) ham me se baaz log apni roz marrah ki zindagi me dauraan-e-guf'togu qasam khaate hain , kuch ki to aadat ho jaati hai our kuch ka takiya'ae kalaam (  تکیہ کلام ) , apni baat manvaane , apne aap ko sach'cha batlaane our apni haqqaaniyat ko saabit karne ke liae maamuli baaton me qasamen khaate hain , bela zarurat qasam khaate hain is surat me agar baat sach hai to qasam khaana makruh hai our agar jhut hai to haram hai

"albatta baaz jaghon par na sirf ye ke jhuti qasam khaana jaa'ez hai balke waajib hai , masalan kisi zaalim ke shar se khud ko ya kisi musalmaan ko nejaat dilaane ke liae khaae"

"maamuli baaton me dusron se bhi qasam khilwaana mazmum hai lehaaza momenin maamuli baaton me wa bela zarurat kisi ki bhi  qasam na khud khaaen our dusron se bhi na khilwaaen"

( qasam khaane ke mazid ahkaam tauzihul masaael me dekh len )

والسلام
Ustaad syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

26 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel




No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen