*sawaal az : ............*
Salm
Mere sawal h ki
Ek Shia larka ek Sunni larki ko la Kar bhag jay or neka Kar la to neka ho jay ga
Mazrat chata hu na number Ka zikr kejya na naam ka
*jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
*agar ladki baakerah ( کنواری ) nahi thi aur waqt-e-aqd baap / dada zinda nahi the our shar'ei tariqe par nikaah kiya hai to nikaah sahi hai baatil nahi hai*
*lekin agar ladki baakerah thi our baap / dada qaid-e-hayaat me the to dekhna hoga ke ladki jis maslak , aalim ya imaam ko maan ne waali hai oun ke nazdik vali ( baap / dada ) ki reza mandi nikaah me zaruri wa laazim hai ya nahi ?*
*agar reza mandi zaruri wa laazim hai to aqd baatil hai , agar aejaazat zaruri nahi hai to aqd sahi hai*
*Note :*
*(1) sunni firqon wa mazaahib me vali ki aejaazat ke be'ghaiyr baakerah ladki se aqd ke baare me 2 nazariyaat paae jaate hain :
*1- aqd baatil hai
*2- aqd sahih hai
*jaiyse ahnaaf ( hanafiyon , abu hanifah ke payro ) ke nazdik ladki agar baaleghah ho our vali ki aejaazat ke be'ghaiyr nikaah kar le to shar'an ous ka nikaah mun'aqid ( منعقد ) ho jaata hai baaleghaah ladki ke nikaah ki sehat ke liae vali ki aejaazat shart nahi hai*
*(2) agar bach'pan me jinsi ta'alluqaat qaaem karne ki bena par nahi balke varzish , khel kud , bimaari...ki vajah se kisi ladki ka parda-e-bakaarat ( پردہ بکارت ) zaael ( زائل ) ho jaae to aiysi ladki ka hukm wahi hai jo baakerah ( کنواری ) ladki ka hai yaani aqd ke liae baap / dada ki aejaazat zaruri hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
9 / شوال / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Sunday, June 16, 2019
Ek Shia larka ek Sunni larki ko le Kar bhag jay or nekah Kar le to nekah ho jay ga?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment