*sawaal az : ............*
Asalam alaikum
Aap ko hamari taraf se eid mubarak.
Sawaal....jinab aayatulla khamnai mudazilahu aali ke mutabiq chand nazar aane ki mundarja zail suratoon main se koun si surat mahine ki pehli tareekh ko sabit kar sakti hai
Pehli surat.... Chand ka aaftab se pehle doobna.
Doosri surat... Chand ka aaftab ke sath sath doobna.
Chand ka aaftab ke baad doobna.
Aap ka mamnoon
Gulzar ahmad
*jawaab* :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
آپ کو بھی مبارک ہو
royat-e-helaal tinon mafruza wa surat me , chaand dekhne ke baad jo raat hai ous ke baad qamari mahine ki pahli taarikh ke saabit hone ke liae kaafi hai
*Note* :-
behtar hai niche diya gaya jawaab bhi molaaheza farma len
والسلام
6 / شوال / 1440ھ.ق
*wazaahat* :-
kuch der pahle mohtaram janaab Tanwir sb ( delhi ) ke sawaal No 2 [ keya india our iran ka ofoq aek mana jae ? ] ( Rahbar ke fatwe ke motaabiq ) ke jawaab me haqir ne likha :
[ ofoq aek nahi hai is liae ke hindustan , iran ke mashriq ( East ) me waaqe hai our iran maghrib ( West ) me waaqe hai , lehaaza agar iran me royat-e-helaal saabit hojae to hindustan ke liae saabit nahi hai ]
is jawaab ke baad mausuf ne faarsi me likhi aek tahrir bheji jo janab Ali Reza Movahhid Nejad ( علی رضا موحد نژاد ) sb ki taraf se hai , is me ounhone chand mulkon kaa naam le kar likha hai ke agar iran me roz-e-Jum'aa eid-e-saeed-e-Fitr kaa aelaan ho to in mamaalik ke log is aelaan par amal karen , oun mulkon me pakistan va hindustan ka bhi zikr hai . is ke baad likhte hain :
lekin hindustan ka shumaal mashriq va shumaal maghrib ( Northeast , Northwest ) juda hai ( yani is aelaaqe ke log iran ke aelaan par amal na karen , is liae ke in aelaaqon va iran ka ofoq muttahid nahi hai )
haqir ne eid ki taatil ke baa'vojud daftar-e-Rahbar ke aek zimme daar shakhs se is tahrir ( khat ) ke baare me pucha to ounhone tahqiq karne ke baad bataya ke ye tahrir sahih va motabar hai
( janab Ali Reza Movahhid Nejad , Rahbar-e-Inqelaab ki jaanib se muntakhab royat-e-helaal committee ke aek zimme daar shakhs hain , is committee me maahir-e-falakiyaat ( ماہر فلکیات ) va nojum ke taqriban 150 group hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-aedara-e-darul etrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
1 / شوال / 1439 ھ.ق,
Subscribe my channel
Monday, June 10, 2019
Chaand (moon) dikhne ki kaun si surat mahine ki pahli tarikh ko saabit kar sakti hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment