Sawaal az :.....
Salamun alaikum wrwb
Aapne mere sawaal ke jawaab me kaha tha ki roze ke haalat me sehri ke baad daur-e-khawaab me agar mani (sperm) nikal jaata hai to roza baatil nahi hai sahi hai.
To kya agar sehri se pahle agar mani (sperm) khaarij hota hai to kya wo bina ghusl kiye roza ki niyat kar sakta hai ? Kya roza sahi hoga ?
Name aur number mera sawaal me nahi dijiyega
Guzarish hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
maahe ramzaan me tolu'ae fajr (azaane subh) tak ghusl karna zaruri hai agar ghusl nahi kar sakte hain to tayammum karen
maahe ramzaan me tolu'ae fajr tak haalate janaabat me baaqi rahne se roza baatil ho jaata hai lehaza agar kisi ne maahe ramzaan me tolu'ae fajr tak amadan ghusl nahi kiya to ous roz maa'fizzimme (ما فى الذمه) ki niyat se roza rakhe aur maahe ramzaan ke baad bhi maa'fizzimme ki niyat se (qaza ki niyat ke beghair) roza rakhe
(Aayatullah Sistaani ke fatwe ke motaabiq - tafsil ke liae tauzihul masaa'ael masla no. 1589 dekh len)
Note :
- maa'fizzimme (ما فى الذمه) yaani insaan par koi chiz waajib huei hai lekin ous ki nau wa qism nahi maalum hai to jo ous ke zimme hai ous niyat se anjaam de, masalan kisi par ghusl waajib hai lekin nahi maalum ghusle janaabat hai ya ghusle mas'se maiy'yit ya ... to jo ous ke zimme hai ous niyat se ghusl kare kaafi hai
- maahe ramzaan me azaane subh ke pahle mohtalim (nind me naapaak) ho ga'ae aur amadan ghusl nahi kiya yahaan tak ke waqt tang ho gaya, yaani ghusl karne ka waqt nahi raha to gunaah kiya hai lekin is surat me hatman azaane subh ke pahle tayammum kare roza sahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
10 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق
پہلی مسلمان خاتون رسول گرامی کی معاون و مددگار آئیڈیل شریک حیات جناب خدیجہ ( سلام الله عليهم ) کی وفات حسرت آیات کی مناسبت سے سب کی خدمت میں تعزیت پیش کرتا ہوں
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment