Sawaal az : janaab Syed Md Tabish sb
Salamun alaikum wrwb.
Mera sawaal ye hai ke agar koi ramzaan me safar pe nikalta hai aur uska irada hai ki 8-9 din me wo wapas watan laut jaayega. Lekin wanha pahuchne ke baad uska kaam 8-9 din me nahi hua aur waqt lagega. To kya aisy surat me uska roza qasr hai?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
aap mokammal 30 roz tak isi tarah taraddud (تردد) wa paso pesh karte rahe yaani dobaara 9 roz ya is se kam rahne ka aeraada kiya, isi tarah ye silsila 30 roz tak chalta raha, jab 30 roz guzr ga'ae to roze 31 aur is ke baad roza rakhen aur namaaz kaamil padhen, khaah sirf aek din hi rahne ka aeraada keyon na ho
Note :
agar kisi ne 10 din rahne ka aeraada kiya tha aur roza rakh liya lekin baad az zohr 10 din rahne ka aeraada badal gaya to is ki 2 surat hai, har aek ka hukm alag hai :
- 4 rak'ati namaaz me se koei aek bhi padh li hai to is surat me jab tak wahaan hain roza sahi hai aur namaaz kaamil padhen
- agar 4 rak'ati namaaz nahi padhi hai to aehteyaat ke taur par ous din ka roza mokammal karen aur baad me ous ki qaza bhi rakhen aur namaazen qasr padhen aur is ke baad roza bhi nahi rakh sakte hain, jetne roze chhute hain baad me oun ki qaza rakhen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
11 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق
No comments:
Comment