Sawaal az : +9177.....
Salamun alaikum.
Que...
Roza rakh kar din ke kis waqt tak nahaane ki ijazat hai ? ya ki maghrib tak kabhi bhi nahaa (bath) sakte hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
roze ki haalat me kisi waqt bhi nahaa sakte hain is se roza baatil nahi hota
albatta agar nahaana kamzori ka sabab bane to makruh hai (yaani roze ka sawaab kam ho jaa'ae ga)
agar hauz ya darya waghairah me koei nahaa'ae to sirf nahaane wa tairne se roza baatil nahi hoga balke amadan paani ke andar tamaam sar ko dubone se benaabar aehteyaate waajib roza baatil ho jaa'ae ga
lekin Aayatullah Sistaani ke nazdik paani me sar ko dubone se roza baatil nahi hota, bas shadid makruh hai
Note :
dubte huae ko bachaane ke liae rozedaar paani me sar ko dubone par majbur ho jaa'ae to sar dubone ke baad roza baatil hai baad me is ki qaza rakhe
Aayatullah Sistaani ke nazdik qaza rakhna zaruri nahi hai is liae ke aap ki nazar ke motaabiq paani me sar ko dubone se roza baatil nahi hota
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
8 / رمضان المبارك / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment