Sawaal az : khaahar-e-geraami / Gujaraat
Salam
Quran me jo mostahab aur wajib sajda hai uske sunne aur padhne wale pe kitna sajda adaa karna hota hai agha sistani Sb ke fatwe ke motabiq
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Qur'aan karim ki 4 aayaat me sajdah karne ka hukm diya gaya hai
tartibe surah ma'aa aayat number :
- surah najm aayat 62
- surah alaq aayat 19
- surah sajdah (alif laam mim tanzil) aayat 15
- surah fus'selat aayat 37
agar insaan in aayat ko padhe ya sune to aayat ke tamaam ho jaane ke baad fauran sajdah kare aur agar bhul gaya to jab bhi yaad aa'ae sajdah kare
agar sirf aayat suni hai to aek hi sajdah adaa karna hai lekin sunne ke saath saath padhi bhi hai to 2 sajde karen
Note :
- agar beghair aekhteyaar aayate sajda suni to sajdah waajib nahi hai agar'che sajda karna behtar hai
- agar gramo phone ya tape recorder se sunen to sajdah waajib nahi hai, isi tarah radio ya tv se tape shuda aayate sajda sunen to sajdah waajib nahi hai lekin agar ba'raahe raast (live) koei padhe to is surat me sunne par sajda waajib hai
- is sajde me tahaarat (wozu ya ghusl ya tayammum) aur qibla rukh hona shart wa laazim nahi hai, isi tarah khaaharaan ke liae parda karna zaruri nahi hai
- is sajde me zikr kahna zaruri nahi hai, qur'aan ke waajib sajdah ki niyat se ous chiz par peshaani rakhen jis par sajdah karna sahih hai to yahi kaafi hai
- haalate janaabat ya maahwaari ya nefaas me faqat aayate sajdah padhna jaa'aez nahi hai (ghaiyr az aayate sajdah surah padh sakte hain) lekin sunne me koei haraj nahi hai albatta sunne ke baad sajda karen
albatta zikr kahna mustahab hai aur behtar hai ous zikr ko kahen jo tauzihul masaa'ael me likha hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
14 / رمضان الكریم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment