Qs from this No : +9187.....
ek farsakh kilo metre ke hisab se kitna hota hai ?
Jawaab :
salaamun alykum wrwb
maraaje keraam ke darmeyaan shar'ei lehaaz se farq paaya jaata hai baaz ke nazariyaat peshe khidmat hain :
- Imaam Khumayni, Aayatullah Khaamenaei wa Saafi wa Bahjat :
- Aayatullah Khoei wa Sistani wa Wahide Khorasani :
- Aayatullah Makarim :
har farsakh taqriban 5.625 km. hai jaana taqriban 22.5 km. waapsi ke saath taqriban 45 km. huaa
lehaaza 8 farsakh taqriban 45 km. huaa
har farsakh taqriban 5.5 km. hai jaana taqriban 22 km. waapsi ke saath taqriban 44 km. lehaaza 8 farsakh taqriban 44 km. hai
har farsakh 5.375 km. jaana 21.5 km. waapsi ke saath 43 km. huaa lehaaza 8 farsakh taqriban 43 km. hai
Note :
namaaz qasr hone aur roza sahi na hone me pahli shart ye hai ke safar 8 farsakh shar'ei se kam na ho
lehaaza jo jis marja ka moqallid hai "km" ke aetebaar se ousi ke motaabiq shar'ei masaafat taiy kare ga to namaaz qasr hai aur roza sahi nahi hai
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran
22 / ذی الحجہ / 1438 ھ.ق
No comments:
Comment