Sawaal az : +9745.....
As Salam o alaikum
Janab ek sawwal hai mera roze se muttalliq
agar mumkin ho to wazahat ka talabgaar hoon
main gulf me job karta hoon aur ramzan 22 ko mujhey India jana hai meri flight total 4 ghantey ki hai timing details yaha ke waqt ke mutabik 14:15 (2:15 p.m) yani Indian time me 4.45 pm ki hai aur 8.30 pm Indian time se arrival hai maghrib rastey me hi ho jayegi to kya main roza rakh sakta hoon ? ifataar ke liye mujhey kaha ka waqt follow karna hoga ?
dauran safar rozey ke kya ahkamaat hain tafseel se batae baraikaram
W assalam
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- ji rakh sakte hain ous din ka roza sahih hoga baad me ous ki qaza laazim nahi hai is liae ke jahaan aap rahte hain wahaan se baad az zohr (zawaale khurshid ke baad) chalen ge
- aap ka jahaaz jis maqaam wa jagah se guzre ga aap ous jagah ke waqte maghrib ke motaabiq iftaar kar sakte hain
- dauraane safar se mota'alliq ahkaam tafsili hain tauzihul masaa'ael me dekh len, jo aap se marbut hai sirf wahi bataaya jaa raha hai :
- wo mosaafir jo 4 rak'ati namaaz ko safar me 2 rak'at padhe wo roza nahi rakh sakta hai, baatil hai
- agar aap zohr (zawaale aaftaab) se pahle apne watan ya ous jagah jahaan 10 din rukne wa rahne ka qasdo aeraada hai pahunch ga'ae aur aiysa koei kaam anjaam nahi diya hai jis se roza baatil ho jaata hai to roza rakh len, is surat me qaza nahi hai (pahunchne ke baad roza ki niyat karen, pahle nahi kar sakte)
albatta agar qabl az zohr hadde tarakh'khus par pahuchen ge to pahunchte hi roza baatil ho jaa'ae ga
ghorube aaftaab ke taqriban 15 ya 20 minut baad iftaar kar sakte hain
aur agar koei aiysa kaam anjaam de diya hai jis se roza baatil ho jaata hai ya baad az zohr pahunche to roza nahi rakh sakte hain baatil hai, baad me ous ki qaza rakhen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment