Hadis : "khoda roze'daar ko nind me khilaata wa pilaata hai" ki wazaahat - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, May 23, 2019

Hadis : "khoda roze'daar ko nind me khilaata wa pilaata hai" ki wazaahat

Sawaal az : +919.....


‏حضرت امام موسیٰ کاظم علیہ السلام
"روزے میں دن کو سویا کرو کہ اللہ نیند کی حالت میں روزہ دار کو کھلاتا اور پلاتا ہے"


(ثواب الاعمال شیخ صدوق)


is hadees ka hawala mil sakta hai ?


Jawaab :


salamun alaukum


Hadis ye hai :


قِیلُوا فِاِنَّ اَللهَ یُطعِمُ الصّائِمَ وَ یَسقیِهِ في مَنامِهِ


(foruae kaafi "ketabus'seyam" jild 4 page 65)


Imaame Kaazim (علیه السلام) ne farmaaya :


zohr ke nazdik nind lo (thodi der ke liae so jaao) is liae ke khoda nind me roze daar ko khaana deta hai aur saiyraab karta hai


Mokhtasar wazaahat :


rewaayaat ke motaabiq dastur wa aadaabe roza me se aek ye hai ke roze daar din me (mokhtasar) so'ae, roze daar ki nind bhi aebaadat hai


Din me sone ki wajah wa raaz shaayad ye hon :


  1. khaana khilaane wa saiyraab karne se shaayad moraad ye ho ke bhuk wa peyaas ki shiddat par khoda roze daar ko tasalli wa dilaasa aur aaraam deta hai

  2. agar roze daar na so'ae to momkin hai jism wa badan kamzor ho jaa'ae, dusre ye ke maahe mobaarake ramazaan ki shabon me raat bhar sona Maasumin (علیهم السلام) ke nazdik ach'chha wa maqbul kaam nahi hai, din me mokhtasar sone ki sefarish wa taakid is liae ki gaei hai ke badan wa jism ki kamzori ka jubraan wa talaafi ho sake aur maahe ramazaan ki raaton me nind kam aa'ae. zaahir hai is surat me maahe ramazaan ki shabon me ruhaani gheza aur barkaton se behtar tariqe se faa'aeda outha sakte hain
    dopahar ke aaraam se insaan taaza'dam ho jaata hai baaqi din ki aebaadat aur kaam karna ous ke liae aasaan ho jaata hai

  3. momkin hai is se moraad jannat ka khaana pina ho

  4. is rewaayat me shaayad inhi'n baato'n ki taraf aeshaara kiya gaya hai
    mokhtasar ye ke nind me khaana dena wa pilaana kenaaya wa aeshaara hai is baat ki taraf ke roze daar nind ke zariae apne jism ki kamzori wa susti ko dur kare, taake khoda ki madad se behtar tariqe se aebaadat kar sake


    qabl az zohr (dopahar) me mokhtasar sona rewaayaat aur foqaha ke nazdik "qailulah" se maaruf hai


    isi rewaayat me Maasum (علیه السلام) ne farmaaya "qilu / قِیلُوا..." : yaani qailulah karo
    qailulah zohr se pahle nind ya mokhtasar aaraam karne ko kahte hain
    Qailulah ke ruhaani fawaa'aed ke saath saath tibbi lehaaz se bhi kaei fawaa'aed hain


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaar-e-darul itrat azim aabaad / patna shobe sawaalaat qum / Iran


4 / رمضان المبارک / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen