Roze ki haalat me khelne wa khun dene ka hukm aur keya ghair muslim wa naasebi ko khun de sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, May 23, 2019

Roze ki haalat me khelne wa khun dene ka hukm aur keya ghair muslim wa naasebi ko khun de sakte hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Zaahid Jaafari sb / +9198....../ Mumbai


Salamunalaikum Maulana


Ek sawaal tha Kya Roze ke halat me hum khel sakte hain kya cricket ya football
Kya roza sahi hai
Kya Roze ke halat mai hum khoon donate Kar sakte hai
Aur Roze ke halat me nahi ho toh bhi kya hum blood donate Kar sakte hai
Please in sawaalon ka jawaab dijiye tafseel mai


Jazakallah


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. khelna agar kamzori ka sabab bane to makruh hai lekin roza sahih hai

  2. haalate roza me khun den to is ki 3 surat hai. har aek ka hukm alag hai :

    1. agar khun dena kamzori ka sabab bane to makruh hai lekin roza baatil nahi hai

    2. agar khun dena zaruri nahi hai (masalan aiysa nahi hai ke ham khun na den to kisi ki jaan chali jaa'ae gi) aur is baat ko jaanta hai ke khun dene se is tarah behosh ho jaa'ae ga ke roze ki niyat bhi yaad nahi rahegi, to khun dena haraam hai aur behoshi se roza bhi baatil ho jaa'ae ga

    3. khun dena kamzori ka sabab nahi hai aur ye jaanta hai ke behosh nahi honge to khun dena na makruh hai aur na hi haraam

  3. agar roze ki haalat me nahi hain to khun de sakte hain albatta agar khun dene se qaabile tawajjoh (bahot zeyaadah) zarar wa noqsaan ho to haraam hai

Note :


insaaniyat ke naate khun muslim wa ghair muslim dono ko de sakte hain, albatta jo islaam wa muslemin se haalate jang me ho to ous ko dena haraam hai


isi tarah jo alal aelaan Masumin (علیهم السلام) se dushmani aur bughz ka izhaar karta ho aur in moqaddas hastiyon ko bura kahta ho, jaiyse naasebi ya da'esh (داعش) wa amsaale da'esh, to inko bhi khun dena haraam hai aur bahot bada gunaah


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawalaat Qum / Iran


13 / شعبان / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen