keya Roze ki haalat me biwi (wife) ke saath sona aur bos-o-kenaar karna jaa'aez hai ? aur inzaal ki surat me kaffaarah ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, May 23, 2019

keya Roze ki haalat me biwi (wife) ke saath sona aur bos-o-kenaar karna jaa'aez hai ? aur inzaal ki surat me kaffaarah ka hukm

Sawaal az : +92...


As Salam-o-alaikum
Qibla syed


Sawaal...


Roze ki haalat me miya (husband) aur biwi (wife) be-libaas (برہنہ) ho kar ek dusre se lazzat haasil kar sakte...
lekin no dakhool, na he hejani kefeyet jis se anzal ho...
aise kaifeyet na ho...
kya un ka roza theek hai....
kya roza ki haalat me be-libaas hona kesa Fal hain...
aur....kissing Karna...?
roze ki haalat me !


جواب کا منتظر ہوں قبلہ


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. agar mani nikaalne ka aeraadah wa qasd na ho

  2. itminaan hai ke mani nahi nikle gi

  3. dono ki aadat bhi ye na ho ke aiysa karne se mani nikal jaa'ae (yaani aam taur par aek dusre se jinsi khel karne se mani nahi nikalti)

  4. to hambistari ke aelaawah dono ye kaam kar sakte hain jin ki taraf aap ne aeshaara kiya hai aur har tarah ki lazzat outha sakte hain, lutf haasil kar sakte hain aur boso kenaar wa chumma chaati (چوما چاٹی / kissing) bhi kar sakte hain dono ka roza sahih hai baatil nahi hai


    hatta agar ittefaaqan (اتفاقا) mani nikal jaa'ae tab bhi roza sahi hai baatil nahi hai


    albatta aek dusre ke saath mazaaq wa jinsi khel wa lazzat wa... ka silsila jaari rakhen yahaan tak ke mani nikalne ka khatrah wa andesha ho jaa'ae is ke baa'wojud khud ko na roken aur mani nikal jaa'ae to jis ki mani nikal gaei hai ous ka roza baatil hai aur qaza wa kaffarah bhi hai


Note :


  1. agar mani nikaalne ka qasd na ho to chand kaam roze daar ke liae makruh hain... oun me se aek miya biwi ka aapas me jinsi khel ya har wo kaam hai jo shahwat ko bhadkaa'ae

  2. french kiss = فرانسیسی بوسہ (miyaan biwi ka aek dusre ke honthon = ہونٹوں ka chumna, chusna ya aek dusre ki zabaan ko chusna ...) me agar aek dusre ka aabe dahan dusre ke munh me chala jaa'ae to aehteyaat ye hai ke ous ko na niglen (halq me na jaa'ae) taake roza sahih rahe

  3. kaffarah :

  4. aek roze ke badle 60 faqir ko ser karen (ya har aek ko taqriban 750 gr ta'aam yaani gandum waghairah den) ya sharaa'aet ke motaabiq 2 maah roze rakhen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


14 / رمضان المبارک / 1439ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen