Sawaal az : +9198.....
Salamunalaikum Maulana
Agar door kahi Safar pe jaana hai for example Ratlam.
toh kya roza rakh sakhte hai ya phir uski qaza roza rakhna hai. please zara details me batayenge
zara aaj bata sakte hai is sawaal ka jawaab please
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
agar aap ka safar Rahbare Inqelaab ke fatwe ke motaabiq taqriban 22.5 km (jaana aur aana milaa kar 45 km) aur Aayatullah Sistaani ke motaabiq taqriban 22 km (jaana aur aana milaa kar 44 km) hai to agar hadde tarakh'khus se qabl az zohr nikle to nikalne ke baad roza sahi nahi hai baad me qaza rakhen
aur agar baad az zohr nikle to ous din ka raza sahi hai
aur jahaan jaa rahe hain wahaan 10 roz se kam qeyaam ka qasd hai to aap mosaafir hain qeyaam ke dauraan roza nahi rakh sakte baad me iski qaza rakhen
Hadde tarakh'khus :
wo jagah hai jahaan pahonchne ke baad ahle shahar ya dehaat mosaafir ko na dekh paa'aen, is ki neshaani wa pahchaan ye hai ke khud, shahar wa dehaat waalon ko na dekh saken
ba alfaaze digar wo jagah hai jahaan se shahar ya dehaat ki azaan suni na jaa sake ya ous ki diwaaren nazar na aa'aen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
26 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment