Sawaal az : +91 83.......
Salaamun alaikum wrahematullahe wbarkatuh
Janaab Mera swaal hai ki Kya fitra chandraat se pahle de sakte hain ?
Jawaab :
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Rahbare Inqelaab Khaamenaei :
nahi de sakte hain
Aayatullah Sistaani :
de sakte hain, hatta maahe ramazaan ke darmeyaan bhi de sakte hain, yaani pahli ramazaanul mobaarak se aakhire maahe ramazaan tak kabhi bhi de sakte hain, albatta behtar hai maahe ramazaan ke darmeyaan fitrah na den
Note :
- maahe ramazaan ke pahle fitrah dena sahih nahi hai
- fitrah, Shia shar'ei faqir ko den, yaani jis ke paas saal bhar ka kharch chalaane ke liae kuchh na ho
behtar wa mustahab hai fitrah dene me apne qaribi rishtedaar wa hamsaaya (پڑوسی) faqir ko dusron par moqaddam rakhen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
27 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment