Sawaal az : +9189...
Salaam alaikum... exam ki wajha se roza chorna kaisa hai iska kya kaffara hoga
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
imtehaan ki wajah ya is bahaane se roza nahi chhod sakte hain, agar sirf is sabab chhoda ya toda to bahot bada gunaah kiya
is surat me jaan bujh kar (عمدا) roza todne ka kaffaarah aur qaza dono laazim hai
Raahe hal :
imtehaan nahi chhod sakte is liae ke is ka naa qaabile talaafi noqsaan hai aur zindagi me mushkelaat bhi ho sakti hain lehaaza is surat me 2 kaam kar sakte hain :
- Roza rakhen aur jab bhi masalan aek ya do ya ... ghante baad aiysi shadid peyaas ya bhuk lage jo qaabile tahammul wa bardaasht nahi to ba'qadre zarurat khaa ya pi sakte hain, khud ko saiyraab (سیراب) wa ser na karen, baad me sirf qaza laazim hai kaffaara nahi hai
- Agar momkin hai to shahar ya watan se qabl az zohr safar karen yaani khaarij hon
Tawajjoh :
agar ba'qadre zarurat khaa ya pi liya to aehteyaate waajib ki bena par taa waqte iftaar mazid khaane ya pine ya dusre mubtalaate roza se parhez karen
Rahbare inqelaab ki nazar ke motaabiq taqriban 22.5 km aur Aayatullaah Sistaani ke motaabiq taqriban 22 km safar karen
aur wahaan kuchh khaa pi kar laut aa'aen, baad me sirf qaza rakhen kaffaara nahi hai
Tawajjoh :
is surat me maghrib tak khaane pine ya dusre mubtalaate roza se parhez karna zaruri nahi hai
Note :
- jo mariz hain ya istisqa ki bimaari me mubtala hai yaani bahot zeyaadah peyaas lagti hai oun ka hukm alag hai
- jaan bujh kar roza todne ka kaffaarah :
jis tarah tauzihul masaa'ael me likha hai ous ke motaabiq har roze ke badle 60 roz (2 maah) roze rakhen ya 60 faqir ko ser karen (pet bhar kar khaana khilaa'aen) ya har aek ko 750 gr ta'aam (gandum ya jaw ya roti ya khurma ya aalu ya ghosht ya macaroni ya is ke maanind chizen) den
agar ye chizen ous ke liae momkin nahi hain to ba'qadre imkaan sadqa den aur agar ye bhi momkin nahi hai to istighfaar karen
lekin aehteyaate waajib ye hai ke jab bhi de sakte hain kaffaarah den
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
3 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment