Sawaal az : +919....
سلام عليكم ورحمة الله وبركاته
MashaAllah aap bahot ummadh istemal kar rahe hai technology ka Allah aap ko ajre khair ata kare.
Maulana sahab hamara sawal ye hai, ki agar koi shakhs ghalat ilmi ki wajah se, jis din usko safar karna hai wo us din ka roza ghar se hi kasr (कसर) maan kar nikle yani us din usne roza rakha hi nahi to aise me uska liye kya huqm hai aur jab usko pata chale ki wo roza uska kaza ho gaya to ab us roze ki kaise adayegi hogi.
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
آپ کا بہت بہت شکریہ
agar ramzaanul mobaarak ka qaza roza tha to zohr ke pahle baatil kar sakte hain, yaani wo kaam anjaam de sakte hain jis se roza baatil ho jaata hai,
baad me qaza rakh len
lekin agar qaza ka waqt tang hai (yaani dusra maahe ramzaan qarib hai) to behtar hai ke baatil na karen
agar maahe ramzaan me hadde tarakh'khus se pahle aiysa kaam kiya jis se roza baatil ho jaata hai to is ki 2 surat hai :
- agar aehtemaal wa shak tha ke hadde tarakh'khus se pahle roza tutne (ٹوٹنے) waala kaam karne se roza baatil ho jaata hai yaa nahi ?
to is surat wa haalat me agar aiysa kaam kiya jis se roza baatil ho jaata hai to amadan (جان بوجھ کر) roza tod (توڑ) ne kaa kaf'faarah den aur qaza bhi rakhen - aehtemaal wa shak nahi tha balke yaqin tha ke hadde tarakh'khus se pahle jo kaam roze ko baatil kar deta hai ous ko anjaam dene se roza nahi tut ta, to is surat wa haalat me agar aiysa kaam kiya jis se roza baatil ho jaata hai to sirf qaza rakhen
Note :
Amadan roza todne ka kaf'faarah :
har roza ke badle 60 shar'ei faqir ko ser karen (ya ser karne ke bajaa'ae har aek ko 750 gr ta'aam yaani gandum, aata, roti, aalu ya gosht waghirah den)
yaa sharaa'aet ke motaabiq 2 maah roze rakhen
moqaddas shari'aat me bandon ke liae aasaan ahkaam bhi hain
agar kisi ke liae ye kaf'faarah momkin nahi hai to baqad're imkaan sadqah de, aur ye bhi imkaan me nahi hai to istighfaar kare
lekin jab kaf'faarah dena momkin ho jaa'ae to benaabar aehteyaate waajib kaf'faarah de
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / ذيقعده / 1439ھ.ق
No comments:
Comment