Sawaal az : +91727........
Salaamun Alequm wrwbt
Mera ek sawal hai
Ki sunnt aur mustehaib kya hai ise kaise samjha jaye
Massln kisi Ziyarat ya kisi namaza ki niyat kar ni ho to kaise pat chale ga ki wo sunnat hai ya musstehaib
Kyun ki kabhi kabhi kitabaun me kisi kisi jangah likha hota aur kisi kisi jagah nhi likha hota hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mustahab :
Har wo amal jo shaare ( شارع ) ke nazdik pasandida wa matlub our ach'cha hai our shaare ne ous ka motaaleba ghaiyr hatmi taur par kiya ho yaani shaare ke nazdik ous fel ko karna waajib wa zaruri nahi hai jaiyse namaaz-e-jamaa'at ...
Fiqhi mafhum ki nisbat se mustahab ko mandub wa sunnat bhi kahte hain
Dini istelaah me sunnat ka matlab :
Loghat , qur'aan our hadis me sunnat ka maani wa mafhum alag alag hai lekin dini wa fiqhi istelaah me :
qaul , fel our taqrir-e-maasum ko sunnat kahte hain
qaul ( aqwaal ) :
Har wo matlab jo maasumin ( صلوات الله عليهم ) ne kisi chiz ke baare me farmaaya hai ya har wo baat wa lafz jo aap ki zabaan se qur'aan ke aelaawah ada huaa ho
Fel ( af'aal ) :
Har wo kaam jis par maasumin ( سلام الله عليهم ) ne amal kiya ho
Taqrir ( taqriraat ) :
Dusron ko kisi chiz ko karte hue dekha our ous ki taaeid ki ya kam az kam ous se mana nahi kiya balke ous par sokut farmaaya to ye ous ke sahi hone par dalil hogi
(Taqiyah - تَقِيَّہ - ki surat me hukm alag hai )
Aqwaal , af'aal our taqriraat-e-maasumin ( صلوات الله عليهم ) hujjat hain keyonke khoda ne maasumin ( سلام الله عليهم ) ko imaam wa muqtada banaakar oun ki eit'teba ka hukm diya hai
Mustahab wa sunnat maalum karne ka tariqa :
Agar aap ki moraad roze ya tamaam aamaal wa af'aal ... hain to oun sab ko yahaan bayaan karna mushkil hai lehaaza tauzi hul masaael , mafaatihul jenaan our dusri ketaaben jaiyse hilyatul muttaqin waghaiyrah se roju karen ya kisi motabar aalim-e-deen se puch len
albatta namaaz ke ta'alluq se aekhtesaar ke saath molaaheza farmaaen :
Waajib namaazen 6 hain :
(1) rozaana ki namaazen ( paanchon waqt ki namaaz )
(2) namaaz-e-aayaat
(3) namaaz-e-maiy'eit
(4) khaanae kaaba ke tawaaf ki waajib namaaz
(5) namaaz-e-qazaae pedar ( bade bete par )
(6) wo namaazen jo oujrat lekar padhi jaati hain our wo namaazen jo nazr , qasam our ahd ke sabab wajib hoti hain
in namaazon ko waajib ki niyat se padhen
Mustahab namaazen :
Bhot zeyaadah hain oun ko naafela bhi kahte hain
yahaan chand namaazon ka zikr kiya jaa raha hai baaqi , tau'zihul masaael ya mafaatihul jenaan me dekh len
(1) namaaz-e-eid-e-fitr wa qurbaan
( ye donon namaazen ghaiybat-e-imaam asr عجل الله فرجه الشريف me mustahab hain)
(2) namaaz-e-wahshat
(3) namaaz-e-jaafar-e-taiy'yaar
(4) namaaz-e-ghofaiyla ( غُفَیلَہ )
(5) namaaz-e-awval-e-maah
(6) rozaana ke naafele
(7) namaaz-e-shab
(8) namaaz-e-zeyaarat
(9) namaaz-e-tahiyat-e-masjid
( masjid ke aehteraam me daakhil hone ke baad misl-e-namaaz-e-subh padhi jaati hai )
(10) namaaz-e-shukr
(11) namaaz-e-istisqa
(jo baarish ke liye padhi jaati hai )
(12) namaaz-e-haajat
( haajat puri hone ke liye )
in ko mustahab ki niyat se padhen
Note :
shaare ( شارع ) se moraad :
khoda ke hukm se shari'at-e-islaami ke baani yaani rasul-e-khoda (صلى الله عليه وآله ) hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
27 / رجب / 1440 ھ.ق
🌷🌹روز عید مبعث🌹🌷
Subscribe my channel
Wednesday, April 3, 2019
sunnt aur mustehaib kya hai ise kaise samjha jaye? Massln kisi Ziyarat ya kisi namaza ki niyat kar ni ho to kaise pat chale ga ki wo sunnat hai ya musstehaib.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment