Sawaal az : mohtaram janaam sultaan waasif sb / Lucknow
علم لدنی منکشف
Ilm ladni munkashaf
Kya kya matlab hai
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke ilm-e-ladunni aiysi istelaah hai jis ke baare me motakallemin ( ilm-e-kalaam ke maahir ) , mofasserin , orafa , philosopher our sufiyon ne bhot kuch likha hai our bahas ki hai , har aek ne apne aetebaar se is ki taarif ki hai our matlab bayaan kiya hai
ilm-e-ladunni ki asl taarif wa matlab bayaan karne ke pahle munkashaf ka matlab batadun :
munkashaf kashf (کشف ) se bana hai , loghat me kashf ka matlab , kholna , zaahir karna , ilhaam our ilqa hai
munkashaf ka matlab , kashf shudah , numaayaan shudah our zaahir shudah hai
Lehaaza zaahir shudah , daryaaft shudah our jaani gai ( maalum ) haqiqat wa haalaat ko munkashaf kahte hain
ilm-e-ladunni ya ilhaam , reyaazat our taqwa ke zariye jo haqiqat maalum wa kashf ho ya zaahir ho ya jo asraar wa romuz our olum haasil hon oun ko munkashaf kahte hain
ilm-e-ladunni :
wo ilm hai jo khoda se baraahe raast beghaiyr kisi waaste ke haasil wa daryaaft ho
ye ilm ketaab , madrasa , college , university , ostaad , taalim o ta'allum our kasb o istidlaal hat'ta farishton se haasil nahi hota balke is ka ta'alluq baraahe raast khirman-e-ilm-e-aelaahi se hai , allaah ke paas se haasil hota hai
ye ilm ambiya our 14 maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke paas hota hai , ya oun hastiyon ke paas hota hai jin ka ilm 14 maasumin ke ilm se moshaabeh hai jaiyse janaab-e-zaiynab , janaab-e-abbaas , janaab-e-ali akbar our maasuma-e-qum ... ( سلام الله عليهم )
ilm-e-ladunni ke bhi darajaat hain , 14 maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki tarah kisi ka bhi ilm-e-ladunni nahi hai , mizaan , meqdaar , zamaan our har aetebaar se aap ke olum ka daraja tamaam olum se ouncha hai
is liye ke jab aap hazaraat ke nur ki takhliq huei to ous waqt zaat-e-baari ta'aala ke aelaawah kuch nahi tha , aap our khoda ke darmeyaan koiy waasta nahi tha
is taalim o ta'allum ki kaiyfiyat ke idraak wa samajhne se oqul-e-bashar aajiz hai
Note :
arabi me 3 kaleme hain lada , inda our ladun ( لَدَى ، عِندَ و لَدُن ) urdu me tinon ka matlab paas wa qarib hai lekin arabi me tinon ke maani wa mahalle istemaal me farq hai , ladun khaas nazdiki wa qurbat ke liye istemaal hota hai , jahaan nazdiki kaamelan mut'tasil hoti hai wahaan ladun istemaal hota hai
ilm-e-ladunni me ladun se moraad khaas nazdiki wa hozur hai
ladunni ( لدنی ) me " ya " , yaa-e-nisbat hai jaiyse kaaba ke liye khoda ne kaha baiyti ( بيتى ) mera ghar
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-aedara-e-daarul etrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
3 / شعبان / 1440 ھ.ق
*🌹 روز ولادت باسعادت امام حسین علیه السلام 🌹*
Subscribe my channel
Wednesday, April 10, 2019
Ilm ladni munkashaf ( علم لدنی منکشف ) Kya kya matlab hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment