Sawaal az : khaahare geraami
Salam
Agha Khums kis par wajib hai
Mujhe tafseel se bataaen
Meri temporary income hai 3000 ki tuition padhati hu aur kuchh savings hain bank me maslan 15 hazar
Ek mere mamu ne Fixed Deposit karwaaei hai 5 lakhs ki ...
Mere pas abhi itne paise to nahi hain ke mai FD par khums de saku to kya hukm hai
kya mujhe uski khums nikalni hai
Aur kuchh gifted saman hai unstitched clothes hain kuchh mujhe tafseeli bataaen
Agha FD ki niyat shadi ki bhi hai aur islie bhi ke agar padhai me zarurt pade to use kar lu
Mai ayatullah sistani ki taqleed me hu
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهsaat (7) chizon me khums waajib hai
(tafsil tauzihul masaael me dekh len )
Jab bhi insaan san'at ( kaari gari, pesha ) ya tejaarat ya dusre kaamon wa pesha ke zariae maal wa faaeda haasil kare ( yaani aamadani ho ) aur ous maal wa aamadani se apni aur ahl-o-ayaal ya jin ka naan-o-nafqa deti / dete hain saal bhar ( tamaam saal ) oun ki zaruriyaat-e-zindagi ( wo chizen jo insaan ki zindagi ke liae zaruri hain ) puri karne ke baad jo bach jaae ous bachat me paanchwaan ( پانچواں ) hissa, 20% khums nikaalna waajib hai
jo raqam bank me hai agar ous ko jama kiye aek saal ho gaya hai yaani ous par saal guzar gaya hai to ous par bhi khums waajib hai
agar bank se nikaalna mushkil hai to jab bhi wo raqam mil jaae ( wosul karli ho ) to ous waqt khums nikaalen
wazaahat :
agar aekat'tha (aek saath ) nikaalna mushkil hai to aayatulla sistaani ke daftar me kisi zariae se bhi apni mushkil bataaen shar'ei raah-e-hal hai, ho sakta hai mohlat den ya qist baandh den ...
ya oun ke kisi motabar wa saaheb-e-aekhteyaar wakil se roju karen
Hadiya par khums :
agar saal bhar pada raha, kharch ya istemaal nahi kiya hai to aayatullah sistaani ke nazdik khums nikaalna waajib hai
Jahez par khums :
agar aek saath jahez ka saamaan kharidna mushkil hai thoda thoda kar ke khariden aur saamaan aiysa khariden jo ourf-e-aam me aap ke laaeq wa monaasib ho to saal bhar balke kaei saal guzarne ke baad bhi ous par khums waajib nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / شعبان / 1440ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment