waajib | mustahab | salaamtiye imaame zamaana ka sadqah saiyed ko dena - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, April 23, 2019

waajib | mustahab | salaamtiye imaame zamaana ka sadqah saiyed ko dena

Sawaal az : +91989....
Salamunalaikum
Sab khairiyat
Mera Sawaal yeh hai ke kya hum Salaamati-E-Imaame Zamana Alaihisalaam ke naam se joh rakam jama karte hai Kya us rakam ko ham Kisi Sayyed ko de sakte hai Kya.please is reply ka muntazir. Agar mumkin ho sake to jawaab aaj hi dedijiye.
Jazakallah Al khairan kaseera


Jawaab :

                           باسمه تعالى
         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
                              الحمدلله


Sadqa ki 2 qismen hain : 

(1) Waajib

(2) Mustahab

waajib jaiyse zakaat our fitra
zakaat syed ko nahi de sakte hain our ghair syed ka fitra syed ko nahi de sakte hain

Lekin tamaam mustahab sadqa syed ko de sakte hain , dene waala syed ho ya ghair syed

imaam-e-zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki salaamti ke liye ya oun ki taraf se jo sadqa dete hain mustahab sadqa hai lehaaza de sakte hain
 


Note :

behtar hai raqam bahot kam wa naa'chiz na ho

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
                  اللهم عجل لوليك الفرج                    

14 / شعبان / 1440ھ.ق

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen