Q.s from this No. +9176....
Imaam Musa (as) kul kitne baras qaid rahe ?
Jawaab :
imaame Musa Kaazim (عليه السلام) ke zamaane me kholafaa'ae Bani-Abbas ki saltanat shabaab par thi, 4 Abbaasi kholafa ka daur dekha
Mansur phir ous ka farzand Mehdi phir ous ka farzand Haadi phir ous ka bhaa'ei Haarun Rashid
Mansur ke daur me 9 saal guzre. ba'zaahir ous ne aap ko qaid nahi kiya lekin Mehdi ne mokhtasar muddat ke liae qaid kiya tha.
Haadi ke zamaane me bhi qaid nahi huae albatta aap par nazar rahti thi.
Haarun Rashid ke daur me qaid ki muddat zeyadah thi taqriban 4 saal qaid rahe
baaz log samajhte hain ke imaame Musa Kaazim (عليه السلام) tamaam oumr qaid rahe, ye sahi nahi hai
ketne baras qaid rahe mowarrekhin ke darmeyaan aekhtelaaf hai
4, 5. 6. 7. 9, 10, 11 aur 14 saal likha hai
giraftaari (گرفتاری) aur shahaadat ki taarikh me aekhtelaaf hai, aur kis khalifa ke daur me ketna qaid rahe ? ketni martaba giraftaar huae ? is me bhi aekhtelaaf hai
zaahir hai in baaton ka natija qaid ke saal me aekhtelaaf hai
in tamaam baaton ka khulaasa ye hai :
shia wa sunni ki ketaabon me ahle ilm hazaraat ki aksariyat ne ittefaaq kiya hai aur likha hai ke aap ki shahaadat 183 H.Q. me huei aur taarikhi sobut wa shawaahid ke motaabiq 179 H.Q. me aap ko qaid kiya gaya
is se is nazariae ki taa'eid hoti hai ke aap taqriban 4 ya 5 saal se zeyadah qaid nahi rahe
bahar'haal mash'hur qaul ke motaabiq 5 ya 6 baras se zeyadah qaid nahi rahe
Haarun (لعنةالله عليه) ne Baabul Moraad imaam Musa Kaazim (عليه السلام) ko aahani zanjiron se jakad kar tang-o-taar ... jagah asir kiya tha, aameyaanah alfaaz wa zabaan me ous qaid khaane ko maut ka zindaan aur maut ki koth'di (کوٹھڑی) kaha jaa sakta hai ousi qaid khaane me Haarun (لعنةالله عليه) ne Imaam (عليه السلام) ko mazlumaana shahid bhi karwaaya
Niche di gaei video dekhna mofid hai انشاءالله
Baabul hawaa'aej kise kahte hain?
iltemaase doaa
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
rajab / 1436 H.Q
Jazakallah khairal jaza. Allah Ulema saleheen ko salamat rakkhe ki wey haqaeq momineen o aawam tak aadilana tasneef k zariye pahunchate rahen.Wasslm.
ReplyDeleteFIAMANILLAH.
Shukriya
DeleteKhoda Mohammad wa Aale Mohammad wa Shohdaa'ae Karbala s.a ke sadqe me aap sabko bhi salaamat rakhe elaahi aameen