Sawaal az : khaahare geraami
Salam alaikum Aagha
Kuch sawal hai aapsey.
Maine islam kubul kia hai
Mere naam... singh urf... hai
- kya main apne naam ke saath naqvi laga sakti hun keyun ki mere husband ka naam syed tahir raza naqvi hai
- kya mere marne (death) ke baad mere kafan per mera kon sa naam likha jayega aur kya mere father ka bhi naam likha jayega
- kya main nazar ka tabarruk nahi bana ya chhu sakti hun
Sukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Nahi laga sakti hain is liae ke naqavi ous syed ko kahte hain jo Imaam Reza (عليه السلام) ki nasl se hain, aap ke pote Imaam Naqi (عليه السلام) ki nasl se jo hain oun ko naqavi kahte hain
aap oun ki nasl se nahi hain is liae nahi laga sakti hain, albatta taahir ya reza laga sakti hain lekin ye mardon ke naam hain - (khoda aap ko sehat-o-salaamti ke saath tulaani oumr ata farmaa'ae)
kafan par naam likhna zaruri nahi hai. chand chizen aiysi hain jin ko likhna mustahab hai - Imaam-e-saadiq (عليه السلام) ne Rasul-e-akram (صلى الله عليه و آله ) se naql kiya hai :
- agar koei ach'chha naam rakhe jaiyse Faatema, Zahra, Zaiynab ... aur Mohammad, Ali, Hasan, Husain ... to khoda ous ke baaz gunaahon ko mo'aaf kar dega. khoda kahe'ga tum ne mere mahbub ka naam rakha hai lehaaza ous ki khaatir wa barkat se tumhaare gunaah mo'aaf karta hun
(albatta sirf ach'chha naam rakhna kaafi nahi hai, taqva wa ach'cha amal bhi zaruri hai) - aap nazr ka tabarruk bana sakti hain aur chhu bhi sakti hain aur khaa bhi sakti hain aur khila bhi sakti hain
masjid, majlis me bhi jaa sakti hain
oun me se aek ye hai ke murde ka naam likh kar momenin gawaahi den ke is ka eimaan khoda, Rasul aur 12 Imaamon (صلوات الله عليهم) par tha
aap ka jo naam abhi hai ousi ko likha jaa sakta hai lekin behtar hai ke naam badal kar ach'chha naam rakh len aur ousi ko kafan par likha jaa'ae is liae ke ach'chha naam rakhne ki islaam me bahot taakid ki gaei hai
dunya wa aakherat me ach'chhe naam ke bahot saare asaraat, barakaat aur faa'aede hain agar koei ach'chha naam na rakhe to ous se mahrum rahe ga lehaaza badal kar ach'chha naam rakhen
aakherat ke sirf 2 faa'aede aur taasir ki taraf aekhtesaar ke saath aeshaara kiya jaa raha hai :
apni aulaad ka aur apna ach'chha naam rakho is liae ke roze qeyaamat tumhen ousi naam se pukaara jaa'ae ga
(kaha jaa'ae ga) khade ho jaao (اٹھ کھڑے ہو) aiy "folaan bin folaan" apne nur ki taraf, aur khade ho jaao aiy "folaan bin folaan" tumhaare liae koei nur nahi
Wazaahat :
jis ka naam ach'chha hoga ous ko nur ki taraf daawat di jaa'ae gi, nur ke dastar'khaan par bolaaya jaa'ae ga
aur jis ka naam bura hoga ous ko zulmat wa taariki ki taraf bolaaya jaa'ae ga
lehaaza aap apna naam badal den aur ach'chha naam rakhen
kafan par baap ka naam bhi likhna zaruri nahi hai lekin agar koei likhna chaahata hai to wahi naam likhe jo hai yaani jo naam ghair muslim rakhte hain wahi likha jaa'ae is me koei haraj nahi hai, isi tarah talqin me bhi karen yaani baap ka jo naam hai wahi kahaa jaa'ae khaah islaami naam ho ya ghair islaami ...
jab aap musalmaan wa shia ho ga'ein to dusre musalmaano aur shi'on aur aap me koei farq nahi hai
islaam makh'susan shia mazhab me achhut (اچھوت) naam ki koei chiz nahi
kisi ko haq nahi hai ke aap ko tabarruk banaane, khaane, khilaane aur masjid wa imaambaadon ya dusre moqaddas maqaamaat par jaane se roke, agar koei aiysa kare to Maasumin (صلوات الله عليهم) ki taalimaat ke khelaaf hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
16 / شعبان / 1440ھ.ق
No comments:
Comment