Agar raah chalte koi chiz Giri mile maslan paisa ya Qeemti chiz maslan Sona ya koi aor chiz to is Surat me kya karenge..??? Islamic nazariye se.. - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, April 7, 2019

Agar raah chalte koi chiz Giri mile maslan paisa ya Qeemti chiz maslan Sona ya koi aor chiz to is Surat me kya karenge..??? Islamic nazariye se..

Sawaal az : +9192.........

Salamun Alaikum janab...

Mera ek sawal tha jiske liye mai Islami nazariya Janna chahti thi..

Sawal...

Agar raah chalte koi chiz Giri mile maslan paisa ya Qeemti chiz maslan Sona ya koi aor chiz to is Surat me kya karenge..???

Agar maan lete hain k paisa gira hua Mila aor maine usey utha Liya to mujhe uss Surat me is paise ka kya kerna hoga.

Jawaab :

                           باسمه تعالى

        عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Agar ous ki maaliyat wa qimat taqriban 2gr chaandi ( چاندی ) se kam ho our koiy neshaani wa pahchaan nahi hai jis ke zariye ous chiz ka saaheb wa maalik maalum ho to khud outha sakte hain our kharch wa istemaal kar sakte hain

lekin agar ous ki qimat taqriban 2gr chaandi ke baraabar ya ous se zeyaadah ho our koiy neshaani wa pahchaan bhi hai jis ke zariye saaheb-e- maal maalum ho to milne ki taarikh se aek saal tak logon ki aamad o raft ( آمد و رفت ) ki jagah ( mahalle ijtema ) kisi motabar insaan ke zariye ya khud aelaan karen ( misaal ke taur par likh kar lagaaen )

agar saaheb-e- maal wa maalik ke milne se naa'oummid hon ( yaani yaqin hai ke saaheb-e- maal nahi milega ) to aek saal tak aelaan karna waajib nahi hai
ous ki taraf se ( shar'ei ) faqir ko sadqa de sakte hain

Note :

1 - agar maal ... aiysi jagah mila hai jahan sabhi kaafir ... hain to is surat me agar koiy neshaani wa pahchaan hai to saaheb-e- maal ko deden , is liye ke kaafir ... ka maal bhi mohtaram hai . lekin agar koiy neshaani wa pahchaan nahi hai to ous maal ko apni milkiyat me laa sakte hain our istemaal wa kharch kar sakte hain , khaah qimti ho ya na ho
( lekin jo kaafir...musalmaanon se haalat-e- jang me hain to oun ke maal ka hukm alag hai )

2 - agar paiyse mile hain to likh kar lagaaen ke kuch paiyse mile hain , ya sona mila hai to likh kar aelaan karen ke sona mila hai , saaheb-e- maal pahchaan bataakar folaan se lele

mokhtasar ye ke is tarah aelaan karen ke asli maalik motavajjeh ho jaae , maal ki tamaam tafsilaat wa khosusiyaat na bataaen warna koiy bhi dawaa kar sakta hai wo mera maal hai

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

21 / رجب / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen