agar namaz k dauraan koi bachcha hmari sajdegah utha kar lejaye aur aas pas koi sajda karne ki koi cheez na ho to hmara kya fariza hai. - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, April 7, 2019

agar namaz k dauraan koi bachcha hmari sajdegah utha kar lejaye aur aas pas koi sajda karne ki koi cheez na ho to hmara kya fariza hai.

Sawaal :... .

Salaam Agha
Kese mezaj hai
Ek sawaal tha k agar namaz k dauraan koi bachcha hmari sajdegah utha kar lejaye aur aas pas koi sajda karne ki koi cheez na ho to hmara kya fariza hai.
Agha Seestani k Muqallid hai agar ho sake to reference k saath bhejiyega
Mamnoon

jawaab :

                           باسمہ تعالی

          علیکم السلام و رحمة الله و برکاتہ

                             الحمدلله

agar namaaz ke darmeyaan ( foraada ya baa jamaa'at ) jis chiz par sajda karte hain wo gum ho jaae ya bach'cha outha kar le jaae to agar koiy aiysi chiz nahi hai jis par sajda karna sahih hai ya hai lekin shadid sardi ya garmi ya is ke maanind chizon ki wajah se ous par sajda nahi kar sakte hain to qeer ( taar kool ) our sanobar ( aek darakht ) ke gond ( گوند ) par sajda karna tamaam chizon par moqaddam hai ( yaani pahle is par sajda karne ki koshish karen )

lekin agar is par sajda karna momkin nahi hai to apne lebaas par sajda karen ya har ous chiz par kar sakte hain jis par haalat-e- aekhteyaar wa majburi na hone ki surat me sajda karna jaaez nahi hai ( jaiyse farsh wa ghairah )

lekin aehteyaat-e- mustahab ( behtar ) hai ke jab tak apne lebaas par sajda karna momkin hai dusri chiz par na karen

( tauzihul masaael  faarsi masla No 1073 wa 1070 / naashir daftar Aayatullah sistaani Qum - 1436 hijri qamari )

Note :

behtar hai apne paas ( jeb ya haath me ) koiy aiysi chiz rakhen jis par sajda karna sahih hai ( jaiyse kaaghaz wa ghaiyrah ) taa ke aiysi haalat me ous par sajda kar saken

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
22 / رجب / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen