*Sawaal az....... / Kanpur*
Sallamun alaikum
Mera ek sawal hai.hamare yaha ek masjid tameer hui hai.lekin usko bannae mai jo karigar lage hai wo sab hindu hai.kuch labour Muslim thi . Aab masjid is position mai hai ki ramazan mai usme jammat ho gi.aur humare yaha ba jammat namaz srif hum logo ko ramzan me multi hai.aise situtation me khya hukum hai.namaz ba jammat pade ya furada ghar per.
2) maszid ka legal map abhi under process hai.
Yani abhi govt ne masjid legally approved nahi ki hai.
kai log is baare me jaanna chaahate hain
mera naam wa No na den
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jahaan tak momkin hai masjid ka zaaheri hissa paak karen
( ya koiy chiz nasb kar den ya laga den taake masjid ki zamin wa dar o diwaar waghaiyrah par namaazi ka gila haath wa kapda waghaiyra lagne se najis na ho
agar masjid ki gili zamin wa diwaar waghiyrah , sukhe badan ya kapdon par lage tab bhi najaasat saraayat kar sakti hai our najis badan wa kapdon ke saath namaaz nahi padh sakte hain )
jo jawaab diya ous ke peshe nazar baa'jamaa'at ya foraada namaaz padh sakte hain
(2) Namaaz padh sakte hain sahih hai
Note:
agar ghair muslim kaarigar ke zariae masjid banwaane se aemaarat najis ho to jaa'aez nahi hai
Lehaaza taamir ke pahle ahkaam-e-shar'ei se momenin ka aagaah hona zaruri hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
2 / شعبان / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Wednesday, April 10, 2019
Agar koi masjid jisme kaarigar ghair muslim lage hon unke haathon se bani ho to kya usme namaaz padh sakte hain?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment