Sawaal az : khaahare geraami
aek azim dini markaz ... me aek khatun ne dauraane taqrir kaha ke maahe rajab me padhi jaane waali dua ka aakheri jumla
(har'rim shay'bati aalan'naar) khawaatin ko nahi padhna chahiye is liye ke is me kaha gaya hai meri daadhi (داڑھی) ke safed baalon ko jahannam ki aatish par haraam qaraar de, khawaatin ke chehre par to daadhi nahi hoti lehaaza is ka padh na sahi nahi hai.
aaya ye baat sahi hai ?
Jawaab :
باسمہ تعالی
سلام عليكم و رحمةالله
ye doaa yaani "(...یا مَن اَرجوہ لکل خیر / yaa man arjuho le kul'le khair...)" Maahe Rajab me shaamo sahar yaani har waqt padhni chaahiae. waajib aur mustahab namaazon ke baad bhi padhne ki bahot taakid ki gaei hai
"شَیبَة / shaiy'bah" (dadhi ke baalon ki safedi) ka matlab daadhi nahi hai balke is se moraad budhaapa wa piri hai aur budhaapa aeshaara hai naa'tawaani, be'basi aur neyaaz ki jaanib
surah maryam Aayat 4 me jo farmaya hai aeshaara hai shadid piri ki taraf aur piri yaani naa'tawaani wa kamzori
surah rum Aayat 54 me "قوت / quwat" ke moqaabil "ضعف و شیبه / zaaf wa shaiy'ba" aaya hai aur "ضعف" (kamzori) ke saath "شیبه" (budhaape) ka zikr hai lehaaza budhaapa, kamzori wa naa'tawaani ki taraf aeshaara hai.
Aamaale masjide kufa me se aek amal : monaajaate Amirul momenin Ali (عليه السلام) hai :
"...مولای مولای انت القوی و انا الضعیف..."
"mere moula mere moula tu qawi hai aur main kamzor"
yahaan bhi eisi naa'tawaani wa be'basi ki taraf aeshaara hai
dusre ye ke mushkil, naa'tawaani aur be'basi me insaan apni thud'di (chin) pakadta hai
tisre ye ke aaya sirf daadhi ke safed baal jahannam me jalen gen ? taa ke sirf is ke liae doa ki jaa'ae ? ya pura jism ?
in baaton ka natija ye nikla ke :
"...حَرِّم شَیبَتِی عَلَی النَّار"
"meri safed daadhi ko jahannam ki aatish par haraam qaraar de"
is se moraad daadhi nahi hai balke naa'tawaani wa be'basi hai lehaaza matlab ye huaa ke ay khoda hamaari be'basi wa naa'tawaani par raham kar is bechaare aur be'bas ko jahannam ki aatish me na daal, tera banda aatishe jahannam ke moqaabil be'bas wa naa'tawaan hai mujh jaiyse be'bas par tere aelaawah raham karne waala kaun hai ?
lehaaza khawaatin, mard, naujawaan aur jin ke chehre par daadhi nahi hai sabhi ko ye doa "har'rim shay'bati aalan'naar" samet padhni chaahiae
Note :
"شيبه / shayba" ka loghawi matlab samajh ne ke liae ahle ilm 2 mash'hur wa maaruf aur azim ketaab "majma'oul bahrain" aur "taajul arus me maadda shin-ye-be dekh sakte hain.
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aaabaad / patna shobae sawaalaat Qum/Iran
11 / رجب / 1438 ھ.ق
No comments:
Comment