shatranj khelne ka keya hukm hai ? is ke noqsaanaat | juaa ke aalaat se moraad | eijaad karne waala - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, March 7, 2019

shatranj khelne ka keya hukm hai ? is ke noqsaanaat | juaa ke aalaat se moraad | eijaad karne waala

Sawaal : .....


Salaam walekum agha


Mera ek sawaal hai :

kya shatranj (chess) islam me jaa'aez hai ?


Main chess ke sports (competition) me jana chahta hun.


Mera naam Syed Hussain Naqvi S/O Syed

Tahir Raza Naqvi :zafar colony Patna-7

Class VI me parhta hun


Jawaab :


باسمہ تعالی

علیکم السلام و رحمة الله و برکاتہ


haqir ne kahin padha hai ke shatranj ko eijaad karne waala hindustaani hai, hindustaan se Iran pahunchi wahaan se Arab aur Arab se Europe chali gaei aur aaj puri dunya me kheli jaa rahi hai


agar ye qemaar wa juaa ( جوآ ) baazi ke wasaa'ael aur auzaar ( اوزار ) me se hai ya kisi naf-o-noqsaan ( نفع و نقصان ) wa shart ke saath kheli jaa'ae to tamaam foqaha wa maraaje ke nazdik haraam hai


lekin agar ye juaa wa qemaar ke auzaar me se nahi hai aur beghair koei shart lagaa'ae aur haar jit, naf-o-noqsaan ke beghair kheli jaa'ae to is surat me maraaje wa foqaha ki nazar mokhtalif hai


yahan sirf 2 marja ki nazar-e- mobaarak malaaheza farmaaen :


  1. Aayatullah Sistaani :


    haraam hai


  2. Rahbar-e-inqelaab :


    agar mokallaf (yaani jis par ahkaam-e-shar'ei ki reaayat karna zaruri wa waajib hai, jaiyse aaqil wa baaligh) ki nazar me juaa ke auzaar me se nahi hai, yaani ous ki tash'khis ke motaabiq juaa ke auzaar me is ka shumaar nahi hota hai to is surat me beghair koei shart lagaa'ae eise khel sakte hain


Wazaahat :


jo maraaje farmaate hain beghair kisi shart wa naf-o-noqsaan ke khel sakte hain wo bhi is khel ke ta'alluq se shadid karaahat ke qaa'ael hain


Note :


  1. juaa ke aalaat wa auzaar se moraad :


    aam taur par ous se juaa khelaa jaata hai, ba'alfaaz-e-digar din daar logon ke nazdik ous ka shumaar juaa ke aalaat wa auzaar me hota ho (is ki tash'khis khud aap ko karna hai)


  2. is khel ke bahot saare noqsaanaat hain, masalan ruhaani aetebaar se is ka kharaab wa manfi asar hai aur zehen ko bhi kharaab kar deti hai, is ko fikri wa zehni khel zarur kahte hain lekin andar se zehen ko khokhlaa ( کھوکهلا ) wa khaali kar deti hai...


  3. Imaam Reza (علیہ السلام) ne farmaaya :


    فَمَن کَانَ مِن شِیعَتِنَا فَلیَتَوَرَّع عَن شُربِ الفُقَّاعِ وَ اللَّعِبِ بِالشَّطرَنجِ


    "jo bhi mere shi'on me se hai wo sharaab noshi aur shatranj baazi se parhez kare"


mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padh len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran


۔20 / جمادی الثانی / 1440 ھ.ق


🌹 🌹 🌹 🌹 🌹

فخر موجودات ، باعث تخلیق کائنات جناب سیده سلام الله علیہا کی ولادت با سعادت سب کو مبارک ہو

🌹 🌹 🌹 🌹 🌹

Subscribe us on youtube

Recommended


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen