washing machine me naa paak kapde dhone ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 28, 2019

washing machine me naa paak kapde dhone ka tariqa

Sawaal az : Mohtaram Janaab Shabih Haider sb


Sallamun alaikum.


Mera sawal hai ki fully automatic me kapda wash karna kaisa hai ? kya wo paak mana jayega ? Keyu ki wo machine 3 bar paani se paak nahi karti.


Regards shabih haider

Shabih.... @gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمة الله و بركاته


Baazaar me kapde dhone ki jo machines hain wo yaksaan aur aek tarah ki nahi hain, har aek ke dhone ka tariqa alag alag hai lehaaza kulli wa yaksaan hukm bataana mush'kil hai isi liae maraaje keraam, paak karne ka hukm shart laga kar bayaan karte hain


Do marja ka fatwa wa mas'ala is tarah hai :


  1. Rahbar-e-inqelaab :


    Kapdon se ain najaasat (asl najaasat) ko zaa'ael wa dur karne ke baad aisy machine me daalen jiska pipe aab-e-kur se mut'tasil ho aur paani lagaataar aa'ae to ye paani machine ke andar kapdon aur khud machine ke andaruni tamaam hisson par pahunch jaa'ae aur ous se juda ho kar nikal jaa'ae (khaarij ho jaa'ae) to kapdon aur machine dono ko paak kar dega (dono paak hain)


    aur agar aab-e-qalil se dho'ae jaa'aen to asl najaasat ko bar'taraf karne ke baad 2 martaba dho'aen paak ho jaa'ae ga (yaani aek martaba paani daal kar dhone ke baad bahaa den phir isi tarah karen)


  2. Aayatullaah Sistaani :


    Agar machine ain najaasat ko bar'taraf kar de aur paani nikal jaa'ae (bahaa den) to kapde aur machine dono ko paak kar dega (donon paak hain)


    kapde dhote waqt paani supply ke pipe se mut'tasil ho ya na ho paak ho jaa'ae ga masalan paani bhar gaya to lagaataar paani aane ka silsila band ho gaya tab bhi paak ho jaa'ae ga


    Mokhtasar ye ke aab-e-kur jaiyse supply ka paani ya aab-e-qalil ke zariae dhoya jaa'ae to paak ho jaa'ae ga, dusri ya tisri martaba dhona zaruri nahi hai aek hi martaba dhona kaafi hai


Wazaahat :


agar kapda khun, paakhaana aur mani ... se najis huaa hai to jo bayaan kiya gaya ous ke motaabiq dho'aen to aek hi martaba me paak ho jaa'ae ga


lekin agar peshaab se najis huaa hai to hukm alag hai :


agar aab-e-qalil se dho'aen to fatwe ke motaabiq 2 martaba dhona zaruri hai

aur agar aab-e-kur (jaiyse supply ka paani) se dhoen to benaabar aehteyaat-e-waajib 2 baar dho'aen


paak hone ke liae asl najaasat ka zaa'ael hona kaafi nahi hai


(yahaan tak aayatullah Sistaani ki nazar ke motaabiq tha )


Dhone ka aasaan wa behtarin tariqa :


Kapde ki najis jagah ko pahle paak kar len phir machine me daal kar dho'aen


Note :


  1. Ain najaasat se moraad :


    Wo najaasat jo dekhaaei deti hai aur ous ki najaasat asli hai jaise khun, paakhaana aur mani ...

    masalan kapde par khun lag gaya to paak karne ke pahle ous ko naakhun ya kapde ya paani waghaiyrah se bartaraf karen phir aab-e-qalil ya kur se sharaa'aet ke motaabiq dho'aen


    Peshaab to dekhaaei nahi deta ous ki asl najaasat ko kaise bartaraf karen ?


    Agar kapdon par peshaab lag gaya to jab tak tar hai asl najaasat baaqi hai lehaaza paani waghaiyrah se asl najaasat ko bartaraf karne ke baad bayaan kiae ga'ae mas'ale ke motaabiq dho'aen paak ho jaa'ae ga


    lekin agar khushk ho gaya to asl najaasat zaa'ael ho gaei is liae ke aam taur par khushk ho jaane ke baad peshaab ke zarraat wa ain najaasat zaa'ael ho jaati hai

    lehaaza faqat bayaan kiae ga'ae hukm ke motaabiq dho'aen paak ho jaa'ae ga


  2. asl najaasat zaa'ael karne ya hone ke baad mas'ale ke motaabiq dhoya lekin asl najaasat ka rang masalan khun ka rang rah gaya, rang baaqi hai to kapda paak hai najis nahi hai sarf waghaiyrah se rang bartaraf karna zaruri nahi hai

  3. agar tanky (water tank) me taqriban 384 litre paani hai to ye aab-e-kur hai lehaaza is se aane waala paani kur hai

    aab-e-qalil wo hai jis ki meqdaar kur se kam ho


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


22 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube


Recommended


Mani waghairah se naapaak bistar | chaadar | kapdon ko paak karne ka tariqah

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen