Masjid banane k waste kya sharayt h. Hm apne watan me masjid banwana chah rahe h agr munasib ho to kisi marza ka fatwa mil jaye ya rehnumai - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 19, 2019

Masjid banane k waste kya sharayt h. Hm apne watan me masjid banwana chah rahe h agr munasib ho to kisi marza ka fatwa mil jaye ya rehnumai

Sawaal az : akbar rizvi

Forwarded by Saiyed Md Tabish

Salam

Masjid banane k waste kya sharayt h.
Hm apne watan me masjid banwana chah rahe h agr munasib ho to kisi marza ka fatwa mil jaye ya rehnumai

Jawaab :-

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Masjid markaz-e- aebaadat , bandagi our musalmaanon ke ijtema ki jagah hai

masjid banwaana mustahab hai is me bhot sawaab hai . hadis ke motaabiq aakherat ke baazaaron me se aek hai our jo bhi masjid banwaae ous ke liye jannat me khoda aek nahi balke kaei ghar banaae ga , mokhtasar ye ke sadqa-e- jariya hai

Sharaaet :-

Surah tauba aayat 18 me baaniye masjid our ous ko aabaad wa taamir karne waalon ke liye 5 sharton ki taraf aeshaara kiya gaya hai :-

(1) Allah par eimaan :
yaani momin ho

(2) Roz-e- aakherat yaani qeyaamat ka aeteraaf :
is par eimaan wa aeteqaad ho

(3) Namaaz qaaem karte hon :
sharaaet ke motaabiq namaaz qaaem karen

(4) Adaae zakaat :-
agar zakaat waajib hai to ada kare our mustahaq tak pahunchaae

(5) Allah ke sewa kisi se khauf na khaate hon :
yaani khoda ke aelaawah kisi bhi makhluq se na dare

Pahli our dusri shart ka rabt eimaan our baatin se hai baaqi tin sharton ka rabt zaahir our amal se hai

zaahir hai sirf eimaan kaafi nahi hai balke eimaan ke saath saath amal bhi ho , jis ka eimaan sahi wa qavi hoga to ous ka amal bhi sahi wa khaalis hoga

(6) Deen daar our khush naam ho :-

amaanat daar ho our bad'naam-e- zamaana na ho yaani ous ki nisbat koiy kharaab shohrat na ho

(7) masjid ki Bunyaad taqwa wa parhezgaari par ho :-

Reyaakaari , naam karne our shohrat haasil karne ke liye na ho our zarar rasaani , kufr our momenin me phut daalne ke liye na ho

(Rasul-e- khoda ( صلى الله عليه وآله ) ki masjid ke moqaabil monaafeqin ne aek masjid taamir ki ous ko masjid-e- zeraar kahte hain , ous ka maqsad zarar rasaani , musalmaanon me aekhtelaaf ... daalna tha ous ko apne mazmum maqaasid ke liye ba'taur-e- markaz banaaya tha. rasul-e- akram ( صلى الله عليه وآله ) ke hukm se wo masjid kharaab kar di gai )
( surah tauba aayat 107 - 108 )

Jo sharten bayaan ki gaein wahi masjid ke baani , motavalli our afraad-e- committee ke liye bhi hain

Jin me ye sharten na hon wo masjid ka baani , motavalli ya committee ka fard ( عضو ) nahi ban sakta

Fiqhi hukm :-

(1) Jis zamin par masjid banwaana chaahaten hain ous ke liye waqf ka sega jaari karen masalan kahen " ous jagah ko qur'batan aelallaah (قربة الى الله ) masjid ke liye waqf kiya "
taamir ke baad baani ki aejaazat se aek shakhs bhi ous me namaaz padh le to ous par masjid ka hukm jaari ho jaae ga

(2) Jab masjid ka hukm jaari ho gaya to ye kisi qaum , geroh , qabila , khaandaan our ash'khaas se makhsus nahi hai ous se tamaam musalmaan istefaada kar sakte hain , baani , motavalli our committee ko rokne ka haq nahi hai

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

10 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen