*Sawaal az : +9187.......
S.a
Khoon ki chit ya zyda khoon halaal jnwr ka(murga) najis hai ya nahi us kpde se nmz pdh sktw hai ya nahi
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
aek kulli qaaeda wa qaanun hai jis ke zariye maalum ho jaae ga ke kis jaanwar ka khun najis hai our kis ka paak
Wo qaaeda wa qaanun ye hai :
jis haiywaan ka khun rag kaat'te waqt ouchal ( اچھل ) kar nikle to ous ka khun najis hai , khaah halaal gosht ho ya haraam gosht
murgh our gosfand waghaiyrah oun haiywaanaat me se hain jin ka khun ouchal kar nikalta hai lehaaza in ka khun najis hai
agar badan ya kapdon par lag jaae to ous par namaaz nahi padh sakte hain
machli ( مچھلی ) wa mach'char ( مچھر ) our is ki maanind jaanwaron ka khun ouchal kar nahi nikalta hai lehaaza paak hai. agar oun ka khun badan ya lebaas par lag jaae to ous par namaaz padh sakte hain
Halaal gosht jaanwar ka kaun saa khun paak hai ?
Agar shar'ei tariqe se zibh kiya jaae our jetna khun ous ke jism se nikalna chaahie otna nikal jaane ke baad jo khun ous ke badan me rah jaae wo paak hai , agar ye khun badan ya kapde par lag jaae to ous par namaaz padh sakte hain
lekin agar saans ( سانس ) lene ki vajah se ya jaanwar ke sar ko baland jagah rakhne ke baa'es haiywaan ke badan me khun palat jaae to wo khun najis hai
Badan ya lebaas par kis meqdaar khun laga hai to ous par namaaz padh sakte hain ?
Halaal gosht jaanwar ka ya insaan ke apne badan ka khun agar haath ke angudhe ( انگوٹھے ) ki gerah wa jod wa sere ( naakhun ke niche se mila huaa angudhe ka baa'laaei hissa ) ya angusht-e- shahaadat ( انگشت شہادت - angudhe ke paas waali ungli ) ki gerah se kam badan ya lebaas par lag jaae to ous par namaaz padh sakte hain
lekin agar ous ke baraabar ya zeyaadah ho to nahi padh sakte hain
ye mas'ala aek hi jagah khun laga hai to ous se marbut hai lekin agar khun ki chenten ( چھنیٹیں ) padi hon yaani kaei jagah khun laga ho to sab ko mila kar dekhen agar angudhe ya angusht-e- shahaadat ki gerah wa sere se kam hai to ous par namaaz padh sakte hain
Note :
auraton se makhsus 3 khun ka zarra baraabar bhi laga ho to ous par namaaz nahi padhi jaa sakti hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- ardara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
22 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Thursday, February 28, 2019
Khoon ki chit ya zyda khoon halaal jnwr ka(murga) najis hai ya nahi us kpde se nmz pdh sktw hai ya nahi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment