Sawaal az : +919.....
Slamun alaikum Qibla
Ummid Karta hu ke aap khairo aafiyat se hon ge,
Allah aapko bahaqqe mohammad wa aale mohammad salamat rakhe
Aameen
Question : Qabil ne Habil ko kyo maara ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ
Mokhtasar jawaab :
aayaat wa rewaayaat se istefaada hota hai ke aekhtelaafaat, qatlo ghaarat gari aur khun kharaaba ki jad (جڑ) wa asl jalan wa hasad ki wajah se qatl kiya
Tafsili jawaab :
Janaabe Aadam ke 2 bete the, aek Qaabil jo khoda parast nahi tha, dusra Haabil jo bahot nek, eimaan'daar aur khoda parast tha
Haabil ka pesha maweshi parwari tha aur Qaabil zeraa'at pesha tha
Haabil ne bakriyon me se bahot ach'chhi bakri ka intekhaab kar ke qurbaani ki aur Qaabil ne sab se kharaab ghallah wa anaaj ki qurbaani pesh ki, Haabil ki qurbaani Qaabil ki qurbaani se ach'chhi thi, is sabab se Haabil ki qurbaani khoda ke darbaar me qabul kar li gaei aur Qaabil ki qurbaani is sharaf se mahrum rahi, is par Qaabil ko Haabil par hasad huaa aur ous ne oun ko qatl kar diya
(majma'aul bayaan jild 3 p 229 - tafsir-e-fakhr-e- raazi jild 11 p 203 - tafsir-e-surah-e-maa'aeda)
Ruae zamin par ye pahla qatl tha lehaaza qatl karne ka tariqa kahan se sikha ?
Eiblis parinde ki surat me aaya aur aek dusre parinde ko pakad kar ous ke sar ko do pat'tharon (پتهروں) ke darmeyaan rakha phir in do pat'tharon ke zariae sar tod (توڑ) diya, parinda mar gaya. qaabil ne ye tariqa dekha phir apne bhaa'ei ko ousi tarah be'dardi se shahid kar diya
(tafsir-e-at'tibyaan jild 3 p 498 - majma'aul bayaan jild 3 p 231 - tafsir-e-fakhr-e-raazi jild 11 p 208 - tafsir-e-surah-e-maa'aeda)
Mohim sawaal : qurbaani keyon pesh ki aur qatl keyon kiya ?
kaha jaata hai aurat ki khaatir qatl kiya, is par baaz mofasserin wa olamaa'ae ahle sunnat ka israar hai ya baaz is ko ahmiyat nahi dete hain, rewaayat ki gaei hai likh kar aasaani se guzar jaate hain, is ki wajah jawaab ke aakhir me maalum ho jaa'ae gi
Qissa ye hai :
oun do bhaa'eiyon ki do haqiqi bahne thin, Janaabe Aadam jis bahen ki shaadi Haabil se karna chaahte the wo khubsurat thi aur jis ki shaadi Qaabil se karna chaahte the wo khubsurat nahi thi, is par Qaabil raazi nahi huaa to Janaabe Aadam ne kaha dono khoda ke darbaar me qurbaani pesh karen, jis ki qabul hogi wo khubsurat bahen se shaadi kare ga ...
Haabil ki qurbaani qabul ho gaei to Qaabil ne hasad ki bena par Haabil ko qatl kar diya
(tafsir-e-fakhr-e-raazi jild 11 p 204)
mujhe nahi maalum ke ye daqyaanusi kheyaalaat aur qabaa'aeli soch hai ya haqiqat, zan, zar aur zamin, fasaad ki jad (جڑ) hain
bahar haal is maajra ka zikr shia ketaabon me bhi hai. mere kheyaal me baaz shia olama wa mofasserin ne ahle sunnat ki ketaabon se naql kiya hai
sage bhaa'ei aur bahno se shaadi taiy (طے) karna kisi bhi tarah qaabile qabul nahi hai ye Hazrat Aadam par bohtaan wa jhut hai, hatta baaz jaanwaron me bhi aiysa ... nahi hai
Imaame Saadiq (علیہ السلام) ne bhi shiddat wa sakhti se is baat se inkaar kiya hai aur farmaaya hai ke ye aiysa jhut hai jis ki nisbat Janaabe Aadam ki taraf di gaei hai
(aelalush Sharaa'ae jild 1 p 18 - 19 taalif Shaikh Saduq)
Qurbaani wa qatl ki asal eillat jaa'nashini wa khelaafat thi :
Janaabe Aadam ko khoda ne hukm diya ke Haabil ko isme aazam ki taalim den phir apna wasi moqarrar kar ke aelaan kar den, jab Janaabe Aadam ne Allah ke is hukm par amal kiya to Qaabil ne qabul nahi kiya, is par aeteraaz kiya aur kaha "ham Haabil se bade hain lehaaza khelaafat ke haqdaar ham hain, Haabil ko wasi moqarar karna khoda ka hukm nahi hai, aap apni taraf se kah rahe hain"
is ke kheyaal me intekhaabe khalifa ka meyaar sin rasida hona aur apni raa'ae thi lehaaza Janaabe Aadam ne farmaaya "baargaahe aelaahi me qurbaani pesh karo, jis ki qurbaani qabul ho jaa'ae wo khoda ke nazdik khalifa aur wasi ban'ne ki leyaaqat wa aehliyyat rakhta hai, wahi khoda ki taraf se khalifa aur wasi hoga"
Haabil ki qurbaani qabul ho gaei, is se saabit ho gaya ke khoda ne ba ounwaane wasi Haabil ka intekhaab kiya to qaabil ko haabil par hasad huaa aur ous ne oun ko qatl kar diya
(tafsire Nurus Saqalain jild 1 p 610 taalif Shaikh Abd Ali Howaizi / Sharhe Osule Kaafi jild 12 p 52 taalif Mulla Saaleh Maazandaraani / Behaarul Anwaar jild 11 p 245 matbuah mo'assasah al wafa)
insaan ki nasl me ye pahla khuni waaqe'aa hai aur ruae zamin par bahne (بہنے) waala pahla naa haq khun hai aur haqo baatil, khaiyro shar, aetaa'at wa naa farmaani, momin wa faasiqo faajir ke darmeyaan khalifa ban'ne ke liae pahli jang hai
is jang me haq Haabil ke saath tha aur Qaabil baatil par. Haabil to shahid ho ga'ae the lehaaza ba hukme khoda Janaabe Aadam ne apne farzand Janaabe Shis (شیث) ko apna wasi moqarrar kiya aur aap hi se Janaabe Aadam ki nasl phaiyli, is liae ke gunaahon jaiyse zena, sharaab noshi, juwa waghairah ke irtekaab ki wajah se Tufaane Nuh me Qaabil ki nasl khatm wa naabud ho gaei
aap ke zamaane me Hazrat Aadam ki aulaad do geroho'n (گروہوں) me ho gaei, aek Qaabil ki paiyro jo but parast huei, dusri Shis ki paiyro jo khoda parast rahi. lekin baaz taarikhi ketaabon aur rewaayat ke motaabiq Qaabil aatish parast ho gaya, Haabil ke qatl ke baad shaiytaan ne ous ko bahkaaya ke Haabil ki qurbaani aag ne jala kar is liae qabul karwaaei ke wo aag ki parastish karte the, tum bhi aag ki aebaadat karo to apne maqsad ko haasil kar loge, isi ke baad Qaabil ne aag ki aebaadat karne ke liae aek ghar banwaaya aur aatish parast ho gaya, ye pahla shakhs tha jis ne aag ki aebaadat ki
- Sharhe Osule Kaafi jild 12 p 52 taalif Mulla Saaleh Maazandaraani
- tafsir-e-fakhr-e-raazi jild 11 p 208
ye jumla suna hoga :
تاریخ اپنے آپ کو دہراتی ہے
taarikh apne aap ko dohraati hai
hazaaron saal baad jab Rasul-e-khoda (صلی اللہ علیہ و آله) ne ba'hukme khoda Amirul Momenin Hazrat Ali (علیہ السلام) ko apna wasi moqarrar kiya to Qaabil ke payro aur ous ki fikri aulaad ne monaafeqaana jang chhed (چهیڑ) di aur fitna angezi ki
Baade Rasul (صلی اللہ علیہ و آلہ) ye fitna'ae khaabida (فتنہ خوابیده) bedaar ho gaya, Ahle Saqifa ne islaam ko musalmaano ke khun me dubo diya, ous ka khamyaaza oummate muslema ko balke insaaniyat wa bashariyat ko aaj tak bhogatna (بهگتنا) pad raha hai
Note :
- Qaabil wa Haabil ke ta'alluq se surah maa'aeda ki aayaat 27, 28, 29, 30, 31 dekh len
- Janaabe Aadam ki nasl kaiyse chali ? is ta'alluq se bahot pahle tafsili jawaab de chuka hun, agar audio ya video mil gaei to bhej di jaa'ae gi انشاء الله, ous me saabit kiya gaya hai ke haqiqi bhaa'ei bahen me shaadi nahi huei
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
8 / جمادی الثانی / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment