gafalat kise kehte hai....?? Me montzir hu imame zamana a.s ka par jab bhi me duniya me ulajha jata hu tu apne wakat ke imam ko yad nhi kar pata.... Kiya me imam zamana a.s ke liye unki salamati ke liye salawat pad skta hu? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 11, 2019

gafalat kise kehte hai....?? Me montzir hu imame zamana a.s ka par jab bhi me duniya me ulajha jata hu tu apne wakat ke imam ko yad nhi kar pata.... Kiya me imam zamana a.s ke liye unki salamati ke liye salawat pad skta hu?

Sawaal az : .........

Assalamalekum bhai... Mera sawal hai gafalat kise kehte hai.... Me montzir hu imame zamana a.s ka par jab bhi me duniya me ulajha jata hu tu apne wakat ke imam ko yad nhi kar pata.... Kiya me imam zamana a.s ke liye unki salamati ke liye salawat pad skta hu

Jawaab :-

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Loghat me ghaflat ka matlab :-

Kisi chiz ki taraf tavajjoh na hona ya ous se be khabar hona , ghaafil hona , laaparwaahi our bhul chuk
ghaflat ki zid our is ke bar'aks bedaari hai

Ghaflat ka mafhum our taarif :-

Ghaflat ke mafhum me wus'at our phaiylaao hai bataur-e- mokhtasar our aam faham matlab ye hai :-

waqt our maqaam o mahal ke haalaat wa sharaaet our ghuzishta wa maujuda our aa'einda haqaaeq our zindagi ke nasheb o faraaz wa haalaat-e- hazera se be khabari

Sab se mohim khoda , rasul ، imaamon ( صلوات الله عليهم ) our allaah ki neshaaniyon wa aayaat our aakherat se ghaafil wa laa parwaah hona

bahar haal ghaflat wa be tavajjohi maujud wa haazir shaiy wa chiz se hoti hai , kabhi bhi ghaiyr maujud , ghaiyr haazir shaiy wa chiz se nahi hoti hai. koiy chiz maujud wa haazir hogi tabhi to ous se ghaafil hoga ya ous ko bhul jaae ga

Kaun si ghaflat mazmum hai :-

Agar kisi par hujjat tamaam nahi huei yaani haqaaeq ko jaan'ne ke imkaanaat kisi ke paas nahi the , dar haqiqat majbur tha to is surat me agar haqaaeq se be khabar ho to is ko jabri ghaflat kahte hain , aiysi ghaflat par moaakheza ( مؤاخذه ) nahi hoga

Lekin kabhi ghaflat aekhteyaari hai yaani ham tavajjoh kar sakte hain our yaad rakh sakte hain is ke baa'vojud yaad na rakhen our be tavajjoh rahen
aksariyat isi tarah ke logon ki hai

ye ghaflat mazmum wa buri hai. aiysi ghaflat par moaakheza hoga yaani jawaab talabi wa baaz purs hogi
is ghaflat se bachna chaahie

imaam-e- saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :-

" اِيَّاكُم وَالغَفلَةَ فَاِنَّهُ مَن غَفَلَ فَاِنَّمَا يَغفَلُ عَن نَفسِهِ "

" ghaflat se bacho is liye ke jo ghaflat kare be shak wo khud se be khabar wa ghaafil hai "

( sawaabul aamaal wa aeqaabul aamaal p 203 )

( Yaani ghaafil shakhs ne khud ko khaab-e- ghaflat me daala hai , khud ko dhoka de rahaa hai is ka noqsaan ousi ko hoga , is ka natija naa'oummidi hai our aahista aahista fasaad wa tabaahi wa inheraaf ki taraf jaana our zindagi me shikast wa naakaami hai

 ye aek qalbi wa akhlaaqi bimaari hai , mokhtasar ye ke ghaflat dunya wa aakherat dono ko kharaab kar deti hai )

Hoshiyaari wa bedaari , khaab-e- ghaflat se bedaar karti hai

Amirul momeni ali (  عليه السلام ) ka farmaan hai :-

            " ... وَستَيقِض مِن غَفلَتِك ... "

" Khaabe ghaflat se bedaar ho "
( Nahjul balaagha khutba 153 )

ilme akhlaaq wa irfaan me hoshiyaari wa bedaari par bhot zor diya jaata hai , is ko istelaah me " yaqzah " ( يَقضَه ) yaani bedaari wa tavajjoh kahte hai

aayaat wa rewaayaat ke motaabiq ambiya ko bhejne wa be'sat ( بعثت ) ka aek mohim maqsad ghaflat se dur karna our bedaar wa hoshiyaar karna tha

Gaflat ke asbaab :-

(1) Shaiytaan ka ghalaba wa qaabu paana ( surah mojaadala 19 )

(2) Sat'hi wa kamzor imaan ( nesaa 136 )

(3) Gunaah :-

is ki vajah se dil taarik ho jaata hai , gunaah aiysa hejaab hai jo ghaafil kar deta hai our tadrijan aahista aahista ous manzil par pahuncha deta hai ke sirf ghaafil hi nahi hota balke allaah ki neshaaniyon our resaalat wa imaamat ki takzib our is se inkaar kar deta hai
( rum 10 )

(4) Hawaae nafs wa dunya talabi :

Dunya parasti ki vajah se is ki zaaheri zindagi wa zarq o barq me oulajh jaata hai
insaanon ki aankho wa kaanon par parda pad jaata hai lehaaza aiysa insaan ghaafil ho jaata hai

(5) Haraam loqma ( khaana )

(6) imaam ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke maqaam o martaba , azmat se jehl wa naadaani our aap ki maarefat me kami

Gaflat ka aelaaj :-

(1) Zikr-e- khoda
( Kahf 24 )

(2) Yaad-e- nemat-e- khoda
( jin 16 - 17 )

(3) Yaad-e- marg
( nesaa 78 )

(4) Yaad-e- qeyaamat
( hadid 17 )

(5) Guzishtaa taarikh wa ghaafil insaanon se eibrat haasil karna
(taaha 128 )

(6) Ba'qadr-e- imkaan imaam ( عجل الله فرجه الشريف ) ki maarefat wa shanaakht haasil karna

(7) imaam ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke haazir wa naazir hone par yaqin

imaam-e- zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ko yaad na karne ki vajah , asbaab-e- ghaflat me se koiy aek ho sakti hai
lehaaza oun se parhez karen our raahe hal ( ghaflat ke aelaaj ) par amal karan
Har waqt imaam-e- asr yaad rahen ge انشاءالله

imaam -e- zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ki salaamti ke liye salawaat :-

 imaam-e- asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki salaamti wa zohur ke liye salawaat padh sakte hain , ye pasandida wa mustahab amal hai our aap ke eimaan wa imaam (عج) ko yaad rakhne ki alaamat hai

mohammad wa aale mohammad ( صلوات الله عليهم ) par dorud o salaam bhejna aiysa amal hai jis me khoda wa farishte bhi sharik hain
( ahzaab 56 )

is me koiy shak nahi ke khoda imaam-e- asr (عج) ka mohaafiz hai

Ham oun ki salaamti ke liye salawaat jaiyse azim zikr ko padhen to is ka faaeda khud zikr padhne waale ke liye hai 
kaffaarah-e- gunaah wa baa'ese barkat ... hai

our is se maalum hota hai ke aiysa nahi hai ke ye shakhs sirf imaam (عج) ko pahchaanta hai balke ous ka zehan , dil o dimaagh imaam (عج) ki taraf rahta hai , aap ki taraf tawjjah hai

oun ki khushi me khush our oun ke gama o andoh me maghmum hai is liye ke ye imaam (عج) ko nahi dekh rahaa hai oun ki haalat se baa'khabar nahi hai lehaaza salawaat ke zarie oun ki salaamti ke liye doa karta hai

waazeh hai ke bataure badla wa aewaz aiyse shia ke liye imaam (عج) khosusi doa karen ge
is ke zariye maarefat wa mohabbat ke saath ba'raahe raast maanavi , ruhaani our qalbi raabeta aiyse shia our is ke imaam ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke darmeyaan barqaraar wa qaaem hoga
agar che imaam ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ko zaaheran nahi dekh raha hai

benaabar in imaam ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki salaamti ke liye salawaat wa doa karna hamaara nek amal hai our hefaazat allaah ke zimme

               اللهم عجل لوليك الفرج

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

5 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen