Assalamalekum bhai mera question ya hai ki me kbi kbi Namaz padta hu magar salawat bhut badta hu mujhe iska koi fayda hoga - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 19, 2019

Assalamalekum bhai mera question ya hai ki me kbi kbi Namaz padta hu magar salawat bhut badta hu mujhe iska koi fayda hoga

Sawaal az : +919.........

Assalamalekum bhai mera question ya hai ki me kbi kbi Namaz padta hu magar salawat bhut badta hu mujhe iska koi fayda hoga

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

Mokhtasar jawaab :-

Namaaz na padhne ya ous me kaaheli wa susti karne me gunaah hai lekin salawaat bhejne me  jo aasaar o barakaat our ajr o paadaash hain wo aap ko mile ga our faaeda bhi hoga

Tafsili jawaab :-

Rasul-e- akram (صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :

                " اَلصَّلوةُ عَمُودُ دِينِكُم "

" Namaaz tumhaare din ka sotun hai "

Heshaam bin hakam ne imaam saadiq ( عليه السلام ) se puchaa namaaz keyon waajib huei ?

Jab ke ous ko padhne ke liye waqt chaahiye our ous me zahmat bhi hai

imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya :-

Ambiya aae our logon ko apne aaein ki taraf daawat di , baaz ne oun ki daawat wa din ko qabul bhi kiya lekin ambiya ki maut ke baad ( chand ke aelaawah ) log oun ke din hatta naam ko bhi bhul gae

Allaah ne aeraada farmaaya ke islaam our rasul-e- maqbul ( صلى الله عليه وآله ) zinda wa baaqi rahen to namaaz ko waajib kiya taake is ke zariye islaam wa rasul-e- khoda ( صلى الله عليه وآله ) ko log na bhulen , hamesha yaad rakhen
( Aelalush'sharaae jild 2 p 10 )

Namaaz allaah ki aebaadat to hai hi , saath hi saath din ki taazgi our taraawar ka sabab bhi hai
is ke zariye tauhid , resaalat our imaamat ki yaad taaza wa zinda rahti hai

in baaton se namaaz ki ahamiyat maalum hoti hai lehaaza is se ghaflat ach'chi baat nahi

Aap ke sawaal karne ki vajah shaayad ye ho :-

imaam-e- saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :

اَوَّلُ مَا يُحَاسَبُ بِهِ العَبدُ الصَّلوةُ فَاِن قُبِلَت قُبِلَ سَائِرُ عَمَلِهِ وَ اِذَا رُدَّت رُدَّ عَلَيهِ سَائِرُ عَمَلِه 


( wasaaelush'shia jild 4 p 34 )

sab se pahle jis chiz ka bande se mohaasaba hoga namaaz hai agar namaaz qabul ho gaei to ous ke saare amal qabul kar liye jaaen ge our jab namaaz rad kar digaei to ous ke saare amal  rad kar diye jaaen ge "

our surah zilzaal me hai :

" jis ne zarra baraabar neki ki hogi wo ouse dekh le ga "

is aayat se istefaada hota hai ke ham namaaz na padhen tab bhi dusra kaare khaiyr anjaam den masalan salawaat bhejen to qabul hogi lehaaza hadis our aayat zaaheran aek dusre ki baraks wa zid hain

Wazaahat :-

hadis fahmi bhot mohim mauzu hai , rewaayat me jo kaha gaya hai ous se moraad zaaheri matlab nahi hai agar zaaheri matlab moraad ho tab aayat-e- qur'aan ke bar khelaaf hai

Namaaz na padhne waale our nek kaam anjaam dene waale 2 tarah ke hain :

(1) wo hain jo munkir-e- namaaz hain , namaaz ko qabul hi nahi karte. jo namaaz se inkaar kare wo kaafir hai is liye ke namaaz se inkaar dar haqiqat khoda wa shariat se inkaar hai
jab kaafir hai to ous ke dusre aamaal bhi qabul nahi honge is liye ke jab khoda ko qabul nahi karte hain to qabul kaun karega ?
jab khoda se inkaar karte hain to ous ki reza wa qabuliyat ki khaatir nek kaam anjaam dene ka keya matlab ?

imaan ho to aamaal qabul hote hain yaani momin our muttaqi ke aamaal qabul hote hain

(2) Namaaz ke waajib hone par yaqin hai ous par imaan hai lekin nahi padhta hai ya kaaheli wa susti karta hai , kabhi padhta hai our kabhi nahi padhta hai
aiysa shakhs agar koiy dusra ach'cha kaam kare jaiyse roza rakhe , majlis karaae ya majlis me sharik ho ya masjid , imaambaada our hospital ... banwaae ya salawaat bheje to ous ke ye aamaal qabul honge is liye ke khoda par imaan hai lehaaza qabul farmaae ga انشاءالله

dusre ye ke namaaz me har chiz hai tauhid , resaalat our imaamat sab hai is me wahdaaniyat our resaalat ki gawaahi di jaati hai our imaamat bhi hai , masalan surah hamd our khud salawaat me imaamat ki taraf aeshara hai
lehaaza jo namaaz ka munkir hai dar waaqe wahdaaniyat , resaalat our imaamat ka munkir hai

jab in tamaam chizon ka munkir hai to ous ke aamaal qabul nahi honge

jo namaaz ka aeteraaf karta hai to dar haqiqat wahdaaniyat , resaalat our imaamat ka aeqraar kar raha hai our imaamat par aeteqaad ruh-e- aebaadat wa aamaal hai our aamaal qabul hone ki shart

lehaaza ( khoda na kare ) agar namaaz na padhe tab bhi ous ke dusre aamaal qabul honge our salawaat bhejne ka faaeda bhi hoga

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum iran

11 / جمادى الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen