marne ke baad aaza atiyah karna | deyah ka matlab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 11, 2019

marne ke baad aaza atiyah karna | deyah ka matlab

Sawaal az : ......


Salamunalekum


Mera Sawaal ye hai ke kya koi marne ke baad apna body part donate kar sakta hai kiya ?


Ghaziabad se Sarim Raza (78.......) sawaal karte hain...


agha sistani d.a ki taqleed me hain....

Jazakallah


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Agar kisi musalmaan ki zindagi wa hayaat ( jaan bachaana ) musalmaan ki may'yit ( میت ) ke aaza wa jawaareh ( body organs ) par mauquf wa munhasir ho to hadiya wa atiya karna aur paiywand kaari ( پیوند کاری ) jaa'aez hai lekin aaza wa jawaareh kaatne waale par deyah ( دِیَه ) waajib hai


albatta agar khud murda shakhs ne apne jism ke ouzw ( عضو ) ko atiya karne ki wasiyat ki thi aur wasiyat ke motaabiq paiywand kaari huei to deyah saaqit hai yaani waajib nahi hai


Note :


DEYAH wo maal wa khun baha hai jo kisi ko naa'haq qatl karne ya badan ke kisi ouzw ko kaatne ya badan par zakhm lagaane ... se qaatil ya zaarib ya ous ke waaris par waajib hai

ye maal khud majruh wa aaseb zadah ya maqtul ke waaris ko diya jaata hai


Lekin aaza ki paiywand'kaari se marbut jo deyah hogi wo waaris ke darmeyaan taqsim nahi hogi balke wo maal maiyeit ke liae kaar-e-khair par kharch kiya jaa'ae ga



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


۔29 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube



Recommendation


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen