Sawaal az : mohtaram janaab Shabih Haider sb
Sallmun alaikum
Tattoo ke mutalik bataiye pls. kya ye jayaz hai hamaare yaha ki nahi. aur hai to kis type ka permanent tattoo ya fir temporary waala
Regards,
Shabih haider | Shab..........r17@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
badan ke liae zeyaadah noqsaan wa zarar na ho aur qur'aan ki aayat yaa aiyse moqaddas naam na hon jin ko mas karne ke liae wozu shart hai aur ghair islaami wa baatil firqon ki tarwij na ho aur ghair akhlaaqi taswir na ho to jaa'aez hai
is par wozu wa ghusl bhi sahih hai. is liae ke ye khaal ke andar hota hai, khaal par paani pahunchne me rokaawat nahi hai
Waqti hone ki surat me hukm :
agar sirf rang ho ya khaal ke andar ho aur khaal ke oupar aiysi chiz na ho jis se khaal par paani na pahunche to ye bhi jaa'aez hai aur ous par wozu wa ghusl sahi hai
Note :
khawaatin ne abru par karaaya hai to agar ourfe aam me zinat hai to naa mahram se ous ka pardah zaruri hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
No comments:
Comment