Sheir bazaar Stoke market ke ehkam kya hai
aur stoke market me investment kar sakte hai ya nahi.
Jawab ka muntazir huJawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aaj kal market me sarmaaya kaari ki mokhtalif shaklen wa suraten raaej hain , mokhtalif company logon se oun ka sarmaaya lekar ounhen manaafe deti hain , jin me se baaz ka tariqa-e- kaar naajaaez wa haraam hota hai jaiyse sharaab saazi waghaiyrah me sarmaaya kaari , our baaz ka tariqa-e- kaar halaal hota hai jaiyse sarmaaya kaari wa maal ko halaal kaar o baar wa tejaarati wa san'ati maqaasid me lagaana
agar aap ko maalum hai ke sarmaaya kaari ( investment ) halaal kaamon me ki gaiy hai to jaaez wa halaal hai
lekin agar haraam kaar o baar me ki gaiy hai to jaaez nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
15 /جمادى الاولى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment