Imaam Husain madine se karbala ki jaanib chale to keya aap ki namaaz qasr thi ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 16, 2019

Imaam Husain madine se karbala ki jaanib chale to keya aap ki namaaz qasr thi ?

Sawaal az : mohtaram janaab  R Syed sb (U.P / India)


Hazur aapne ek sawaal ke jawab me ye kaha tha 👇


Namaaz-e-khauf


ye namaaz misle namaaz-e-subh wa namaaz-e-mosaafir 2 rak'at hai mojaahid, mosaafir ho ya na ho 2 hi rak'at hai
waise to imaam husain (عليه السلام) aur aap ke hamraah sar'zamin-e-karbala par waarid hone waalon ki namaaz qasr hi thi is liae ke 8 roz se zeyaadah nahi the
is namaaz ko jamaa'at se padhne ka makhsus tariqa hai. click here to read...


MERA SAWAAL YE HAI KI


Qibla Yaha Namaz'e Qasr Waali Baat Samjh Nahi Paya Kyo'ki
Jaisa Ki Namaz'e Qasr Agar Ham Apne Watan Se 10 Roz Se Kam Ki Niyat Karke Nikle To Qasr Hogi ...


Lekin Imam'e Hussain (as) Madina Munawwara Se "28" Rajab Ko Nikle Aur "2" Morarram Ko Karbala Pohche To Ye Waqfa Taqreeban "6" Mahine Hota Hai ...


To Phir Namaz'e Qasr Waali Baat Samjh Nahi Aati ?


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


jawaab likh kar sawaal karne ka shukriya


sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke Imaam (عليه السلام) ko behtar maalum tha ke keya karna hai, dusre ye ke watan se nikalte waqt 10 roz ya is se kam ki niyat karna zaruri nahi hai, jahaan jaa rahe hain wahaan 10 roz se kam qeyaam wa rukne ka aeraada ho to namaaz qasr hai


baharhaal samajhne ke liae bata dun ke Imaam (عليه السلام) 28 rajab (60 hijri qamari) ko madine se chale aur taqriban 5 roz baad yaani 3 shaabaan (60 hijri qamari) makke pahunche, taqriban 4 maah 5 roz makke rah kar 8 zilhijja (60 hijri qamari) makke se chale, 2 moharram (61 hijri qamari) karbala pahunche. Imaam (عليه السلام) aur aap ke hamraah hastiyon ne makke se karbala ki masaafat wa safar taqriban 23 ya 24 roz me taiy kiya, jab aap makke se chale to phir shar'an mosaafir ho ga'ae. karbala me 8 roz se zeyaadah nahi rahe, aap ko maalum tha ke 10 moharram shahid kar diye jaa'aen ge lehaaza 10 roz qeyaam ka aeraadah nahi kiya tha


dar'waaqe karbala me bhi aap shar'ei aetebaar se mosaafir the isi liae namaaz qasr thi


jis tarah watan me kaamil namaaz padhna waajib hai ousi tarah safar me qasr padhna waajib hai, ye hukme khoda hai aur be'shumaar rewaayaton me bhi kaha gaya hai, khud Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) safar me qasr padhte the


Note :


beraadaraane ahle sunnat ki motabar ketaabon me hai ke safar me kaamil namaaz padhne ki bid'at tisre khalifa ousmaan ne raa'aej ki


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


3 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen