Sawaal az : mohtaram janaab Sohrab sb (Lucknow)
Janaab Mohtaram, Salam alaikum, Allah talah se dua he ke aap sab Ba-Khairiyat honge..
Hazrat Abbas (A.S) ki Haajate namaaz padhne ke baad jo aqeeq ki tasbih 134 martaba padhi jaati hai. us Namaaz ka koi special Time muqarrar ho to please bata dijye..
Shukriya
Sohrab
Lucknow
Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
ye namaaz Janaabe Abbaas (عليه السلام) ki taraf mansub hai, mushkelaat ki duri aur talabe haajat ke liae padhi jaati hai
Tariqa :
2 rakat hai misle namaaze subh, namaaz ke baad 133 martaba ye zikr padha jaata hai :
يَا كَاشِفَ الكَربِ عَن وَجهِ الحُسين اِكشِف كَربِي بِحقِّ اَخِيكَ الحسين
yaa kaashefal karbe an waj'hil hussain eikshif karbi be haqqe akhikal hussain
"aiy Imaame Husain (عليه السلام) ke chehre se ghamo andoh wa dukh wa mosibat ko dur wa bartaraf karne waale, aap ko aap ke bhaa'ei Husain (عليه السلام) ka waasta mere bhi ghamo andoh wa dukh ko dur farmaa'eiye wa mushkil ko hal kijiae"
phir jo bhi doa wa haajat hai aap ke zariae khoda se talab karen
is zikr ko aqiq ki tasbih par padhna zaruri nahi hai, meyaar adad hai yaani 133 martaba padhna, tasbih par padhen yaa haath par. albatta khaake shefa ki tasbih par padhne me taasir zeyaadah hai
Waqt :
aiysi hastiyon se tawassul aur inko wasilaa wa zariyaa qaraar dene ke liae waqt wa jagah makhsus nahi hai lehaaza jab dil chaahe aur jis jagah chaahen aur jab bhi koei mushkil wa haajat ho inse tawassul karen aur shafi (شفيع) yaani shafaa'at karne waala qaraar den wa is namaaz ko padhen, lekin is haqiqat se bhi inkaar nahi kiya jaa sakta hai ke baaz waqt aur maqaam ki taasir hai, is namaaz ke liae kaha jaata hai ke roze jumaa padhen
133 ki hikmat :
horufe abjad (ابجد) me Abbas (عباس) ke aadaad 133 hain, 133 martaba is zikr ki takraar wa wird ka yahi raaz wa hikmat ho sakti hai
qaabile tawajjoh baat ye hai Imaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ke laqab "Abaa Saaleh" (ابا صالح) ke aadaad bhi 133 hain isme bhi koei raaz zarur hai
Wazaahat :
is namaaz ka tazkerah motabar rewaayaat me nahi hai, isi tarah 133 martaba padha jaane waala zikr bhi motabar doa'aon me nahi milta hai
lehaaza is namaaz wa zikr ko janaabe Abbaas (عليه السلام) ko hadiyaa karne ki niyat se padhen ya rajaa'an (رجائا) , yaani qabul hone ki oummid wa aarzu se padhen
bahar haal is namaaz ki bohot taasir hai aur mojarrab bhi hai. bohot saare orafa wa momenin ne tajroba kiya hai aur aazmaaya hai
133 martaba padhe jaane waale zikr ka matlab bhi azim hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
19 / ربيع الثانى / 1440 ھ.ق
Recommended
No comments:
Comment