Sawaal az : Mohtaram janaab abu zar aabedi sb /+ 9193......../ Chandi garh
Slamun alaikum Qibla,
Ummid karta hu k aap khaireyat se honge.Allah aapko khair o Aafiyat se rakkhe.
Aameen
Mera Sawaal hai Kya wuzu karne ke baad apne hath or muh ko towel se khushk kar sakte hai?
"Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ
Ji khushk kar sakte hain lekin vozu ke paani ko khushk karna makruh hai
vozu ke taalluq se chand chizen waajib hain our chand chizen mustahab wa makruh hain
aap ke sawaal ka rabt makruhaat-e- vozu se hai lehaaza chand dusre makruhaat-e- vozu molaaheza farmaaen :-
(1) istinja ki jagah vozu karna yaani peshaab ya paakhaane ke baad najaasat se apne aap ko paak karne ki jagah vozu karna
wazaahat :-
is waqt hammaam, washroom our mu haath dhone ki jagah aek hi saath wa aek hi jagah banaaei jaati hai to keya aiysi jagah vozu karna makruh hai?
Jawaab :-
istinja karne ki jagah, vozu karna makruh hai mu haath dhone ki jagah ( wash stand sink ) juda hota hai lehaaza yahaan vozu karna makruh nahi hai
(2) ous paani se vozu karna jo suraj ki garmi se garm ho gaya ho
(3) khud vozu karne me nahi balke paani daalne me dusre se madad lena masalan koi paani daale our vozu karne waala khud aazaae vozu par paani pahunchaae ye makruh hai
lekin mas'h karne me mdad lena jaaez nahi hai
(4) ous bartan se vozu karna jis par sone ya chaandi ki qalaei (قلعی ) huei hai
ya ous bartan se karna jis par tasvir bani hai
(5) vozu karte waqt Aabe vozu me israaf ( fozul kharchi )
Wazaahat :-
israaf to haraam hai phir yahaan makruh keyun hai?
Jawaab :-
makruh ous waqt hai jab paani ki qimat wa ahamiyat na ho masalan kahin paani farawaan ho
jahaan paani kam hai our ouski ahamiyat wa qimat hai to wahaan israaf haraam hai
israaf kaa meyaar wa kasuti :-
rewaayat me hai ke mustahab hai vozu karne me aek mud our ghusl karne me aek saa ( صاع ) paani istemaal karen
is se zeyaadah istemaal karna israaf hai
aek mud :-
taqriban 750 gr hai
aek saa :-
taqriban 4 mud ke baraabar hai
yaani 3000 ( tin hazaar) gr( 3 Liter )
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
4 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Monday, January 14, 2019
Kya wuzu karne ke baad apne hath or muh ko towel se khushk kar sakte hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment