Salaamunalaikum Maulana
Sab khairiyat
Mera ek sawaal tha kya ham sar par tel ya gel hone se namaz padh sakhte hai kya?
Jawaab :-
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمدلله
agar ye donon paak hain to padh sakte hain
lekin vozu karne me is qadr zeyaadah na ho ke mas'h (مسح) karte waqt khaal ya sar ke agle hisse ke baalon par aabe vozu pahunchne me rokaawat bane to koiy haraj nahi hai
agar rokaawat bane to ba'meqdaar-e- waajib bartaraf karna zaruri hai
Note :-
saanp (سانپ ) ka tel taqriban tamaam maraaje ke nazdik paak hai
lekin agar sar wa jism par laga ho to namaaz padhne ke ta'alluq se maraaje keraam ke darmeyaan aekhtelaaf-e- nazar hai
aayatullah sistaani ke nazdik padh sakte hain , ous par namaaz sahi hai albatta aehteyaat-e- mustahab hai ke ous par namaaz na padhen
baaz maraaje jaiyse rahbar-e- inqelaab farmaate hain :-
agar saanp ke tel ke ajza ( اجزا ) baaqi hain to ous par nahi padh sakte hain lekin agar jazb (جذب) hogae to padh sakte hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- adara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
10 / ربيع الثانی / 1440ھ.ق
عاليةالمحل ، کریمئہ اہل بیت ، وليةالله ، معصومئہ قم
(سلام الله عليها)
کی شہادت کی مناسبت سے تعزیت پیش کرتا ہوں
No comments:
Comment