kiya me apne halat ke liye Istikhara kar skta hu bhai.... Or kiya me jis larki se shadi karo uske liye Istikhara kar skta hu Ki vo mare liye behtar hai - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 16, 2019

kiya me apne halat ke liye Istikhara kar skta hu bhai.... Or kiya me jis larki se shadi karo uske liye Istikhara kar skta hu Ki vo mare liye behtar hai

Sawaal az : +919..........

 Bhai assalamalekum kse hai ap kiya me apne halat ke liye Istikhara kar skta hu bhai.... Or kiya  me jis larki se shadi karo uske liye Istikhara kar skta hu Ki vo mare liye behtar hai
...Istikhara kase karte hai Bhai


jawaab :-

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

                           الحمدلله

Shaadi our zan o shouhar ka intekhaab wa khaanwaade ki tashkil bht mohim hai , khel nahi

lehaaza jazbaati wa haijaani aeraade wa aeqdaam se parhez behtar hai

sab se pahle aql o fikr our tahqiq ke zariye dekhen ke aaya ye rishta mere liye monaasib hai ya nahi?
agar aql o fikr our tahqiq ke baad kisi natije tak nhi pahunch paaiy to qaabile itminaan , amin, mazhabi our baakhabar wa aagaah shakhs se mashvera karen ke folan jagah shadi karna mere liye behtar hai ya nahi? agar is ke baad bhi kisi natije tak nahi pahunch paaye to dodil wa hairaan hain yaani aap doraahe par khade hain , nahi maalum kis taraf jaayen , folaan jagah shadi karen ya na karen to is surat me istekhara hai dar haqiqat ye aek tarah ka khoda se mashvera karna hai ke folan rishta mere liye monaasib hai ya nahi?
is se khair , bhalaayi our behtari ke liye madad talab karna hai

Note :-

istekhara aaye ya mana ho is par amal karna vaajib nahi hai , lehaza agar istekhara aagaya is ke baad bhi amal na kare to gunaah nahi hai our agar mana aagaya is ke baa'vojud kare to gunaah nahi hai

lekin hat'talimkaan behtar hai istekhara ke bar khelaaf na karen is liye ke momkin hai baad me afsos wa pashimaani ka sabab bane

baaz orafa wa olama ke ba'qoul :-

" me ne apni zindagi me baaraha tajreba kiya hai ke istekhara sirf dodili , tazabzub our shak o tardid se nejaat haasil karne ke liye nahi hai balke kashfe haqiqat bhi karta hai yaani istekhare ke zariye haqiqat zaahir wa maalum ho jaati hai "

isi liye behtar hai istekhara kisi mut'taqi , parhezgaar our maahir-e- istekhara se dekhaana chaahiye

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

30 /  ربيع الثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen