Sawaal az : mohtaram janaab abbaas sb/ delhi
Keya syed gunaahgaar ki izzat laazmi hai dena..or ummat se ziyada afzal hai syed?? Aur keya bani-hashim bhi syed hote hai... jese janabe abbas ki nasle wo bhi syed hain.
Reference ke sath jawaab de please
jawaab :-
باسمه تعالى
سلام عليكم
سلام عليكم
islaam aek aiysa din hai jis me tamaam insaanon hatta ghaiyr muslim ka bhi aehteraam karne ke liye kaha gaya hai lekin in ke darmeyaan musalmaanon ke aehteraam ka zeyaadah qaael (قائل) hai our musalmaanon ke darmeyaan momenin ka aehteraam karne ke liye khosusi taur par kaha hai
"albatta momenin ke darmeyaan jo log rasul-e-akram our aap ki beti janaab-e-saiyedah (سلام الله علیھم) ki nasl se hain oun ka aehteraam wa izzat karne ki bohot zeyaadah sefaarish wa taakid ki gai hai"
"aayaat wa motabar rewaayaat ke motaabiq saadaat ka aehteraam har musalmaan par waajib hai"
imaam-e- khumaiyni (رحمةالله عليه) ke daamaad aayatullah shaikh shahaabuddin ishraaqi ke baare me mokhtalif olama se suna hai ke aap ghaiyr az waqt-e- khaab kabhi bhi apni bivi ke saamne paiyr nahi phaiylaate the , apni saiydaani sharik-e- hayaat ka is tarah aehteraam karte the
saadaat ka aehteraam aek fitri amr wa aam baat hai. agar koiy kisi se mohabbat karta hai ya mohtaram shakhsiyat hai to ous ki aulaad ka bhi aehteraam karta hai. saadaat ka aehteraam dar waaqe rasul-e- khoda our janaab-e- saiyedah (صلوات الله عليهم) ka aehteraam hai , in hastiyon ki vajah se saadaat mohtaram hain
"saadaat ka aehteraam in se mohabbat ki neshaani wa alaamat hai"
is me koiy shak nahi ke syed ka aehteraam laazim wa zaruri hai lekin aiysa nahi hai ke syed hone ki vajah se syed ka jo dil chaahe wo kare
"balke tamaam ahkaam, waajebaat our moharremaat ... Ki reaayat aek aam insaan ki tarah is par bhi waajib hai. Is aetebaar se sabhi mosaavi wa baraabar hain koiy moaaf nahi hai"
syed ko to in baaton ki zeyaadah reaayat karni chaahiye our ghunaah nahi karna chaahiye is liye ke rasul-e- khoda our janaab-e- saiyedah (سلا م الله عليهم) se mansub hai lehaaza zimmedaari sangin hai
"qur'aan me hai"
" ay nabi ki biviyo! Tum me se jo koiy sarih be hayaaei ki murtakib ho jaae ouse dugna azaab diya jaae ga ... Our tum me se jo allah our ous ke rasul ki aetaa'at karegi our nek amal anjaam degi ouse ham ous ka dugna sawaab dengen ..."
(ahzaab 30-31)
nisbat ki vajah se jab nabi ki biviyo ke saath aiysa hai to badarjae aula (بدرجئہ اولی) jo rasul-e- khoda ki nasl se hai , aap ki aulaad hai ouse gunaah karne par dugna azaab diya jaae ga
" imaam-e-baaqir (علیه السلام) ne aek aiyse shia se farmaaya jo gunaah me mubtala tha"
" neki karna sab hi se behtar hai , lekin tumhaara karna zeyaadah behtar hai , is liye ke tum mujh se zeyaadah nazdikh ho our buraaei karna sab hi se bura hai lekin tum karo to zeyaadah bura hai ( is liye ke mujh se qarib ho ) "
abu lahab rasul-e- khoda ( صلوات الله علیهم ) ka chacha tha our saiyed bhi , lekin is ke baare me qur'aan ne kaha :
" wo an qarib bhadakti ( بھڑکتی ) aag me jhulse ga "
( surah-e- lahab )
janaab-e- nuh ke beta ke baare me kaha :
" ay nuh ! be shak ye aap ke ghar waalon me se nahi , ye ghaiyr saaleh amal hai ( yani naa laaeq hai ) "
( hud - 46 )
"lehaaza saiyed hona kaafi nahi hai , is waqt bhi bht saare saiyed aiyse hain jo rasul-e- khoda our janab-e- saiyedah ( صلوات الله علیهم ) ki nasl se hone ke baawojud aap se bughz o aenaad rakhte hain our aap ke dushmano wa qaatelin se mohabbat karte hain our naa'ranji kapde pahen kar buton ki pujaa karte hain , aiyse saadaat ka anjaam abu lahab our farzand-e- janaab-e- nuh ki tarah hi ho ga"
albatta aiysa saiyed jo gumraah nahi hua hai , ahl-e- bait-e- ismat o tahaarat ke raaste se nahi hata hai lekin gunaah gaar hai to is ka aehteraam rasul-e- khoda ( صلوات الله علیهم ) ki wajah se karna chaahiye
"rasul-e-akram (صلی الله علیه و آله) ne farmaaya" :-
اَکرِمُوا اَولَادِی الصَّالِحُونَ لِلّه وَالطَّالِحُونَ لِی
"meri nek wa saaleh oulaad (saadaat) ka aehteraam khoda ke liye karo our bure saadaat ka meri khaatir (yaani rasul-e-khoda se mansub hai,) is liye aekeraam karo
baaz jagah اکرموا ( akremu ) ki jagah احبوا ( ahabbu ) bhi hai , yani saadaat se mohabbat karo ...
"kholaasae jawaab" :-
"agar aap ke aehteraam karne se gunaah karna tark karde to zarur gunaah gaar saiyed ka aehteraam wa izzat karen , lekin agar aap ke aehteraam karne se ous ke gunaah ki taaeid wa hausala afzaaei ho ya mazid gunaah karne ki jasaarat kare to aehteraam karna jaaez nahi hai"
"Note" :-
jawaab tulaani ho gaya lehaaza dusre sawaal ka jawaab baad me diya jaae ga ان شاء الله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
3 / ربیع الثانی / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
3 / ربیع الثانی / 1440 ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment